Sarkari Yojna

Vidhwa Pension Yojna 2020 | विधवा पेंशन चेक लिस्ट State Wise & Online Aavedan

Vidhwa Pension Yojna Application Form Online 2020:- Yah Pension Yojna Bharat ke Pradan Mantri Shree Narendra Modi Ji ke dwara Desh ke Partyek Rajyo me shuru ki gyi hai. Yah Various Rajya ke Jaruratmand aarthik roop se Garib aur Besahara Vidhwa Mahilaon ko Labh pahuchane ke liye shuru kiya gya hai. Is Yojna me vah Vidhwa Mahilayen jo Garibi Rekha se niche apni Jivan Yapan kar rahi hai, Unhe is Yojna ke jariye Labh pahuchane ka Karya kiya jayega, Taki vah apne Jivan ko achhe se chala saken.

Isliye aap sabhi ko is article me Labh prapt karne ke liye Appication Process, Aavedan Status jaise aur bhi mahatvapurn jankari pradan karaya ja raha hai. Sath hi State Wise official Link bhi provide karaya ja raha hai, Jiska upyog karke Vidhwa Pension Yojna 2020 ke liye Aavedan kiya ja sakta hai.

Contents

Vidhwa Pension Yojna 2020 Application Form

Aapko bata den ki Desh ke Partyek Rajya me Vidhwa Mahila ko unki Jivan Yapan ke liye Per Mahine Sahayata Rashi pradan karne ke liye Sarkar dwara Vidhwa Pension Yojna ki shuruaat ki gyi hai, Is Yojna ke madhyam se Husband ki Death hone par Besahara ho chuki Mahilaon ko Labh pahuchane ka Kaam kiya jata hai.

Aise to sabhi State Government apne Rajya ke Vidhwa Mahilaon ko bahut se prakar ki Pension ke roop me Financial Help pradan karti hai. Lekin yah Pension un sabhi Mahilaon ko uplabdh karaya jayega jiske husband ki death hone ke baad uske aage koi Sahara nahi hai, Aur vah ek Garib Parivar se belong karti hai. Jiske liye Vidhwa Mahila ka apna Bank Account hona bahut hi aavashyak hai, Kyonki Sarkar dwara diye jane bali Rashi direct unke Bank Account me Transfer ki jayegi, Aur Bank Account unke Aadhar Card se Link hona anivarya hai.

Key – Fact of Vidhwa Pension Yojna 2020

Name of SchemeVidhwa Pension Yojana 2020
Launched byState Government
BeneficiaryBesahara Vidhwa Maila
Application ProcessOnline & Offline
ObjectiveVidhwa Mahila Ko Aarthik Sahayat Pradan Karna
BenefitFinancial Help Ke Roop Me
CategoryState Government Schemes

Indra Gandhi Vidhwa Pension Yojna

Central Government ne IGVPY Scheme ke tahat Vidhwa Mahilaon ko aarthik madad pradan karne ke liye shuru ki hai, Is Yojna me vah sabhi Vidhwa Mahila jinki Age 40 Varsh se adhik aur 59 Varsh se kam hai, Unhe Per Mahine Rs. 300 Rupaye Pension ke roop me aarthik madad ke liye pradan ki jati hai. Jiske liye unhe sabse pahle online Application Form bharna hota hai, Uske baad Sarkar ki tarf se iska Labh diya jata hai.

Jabki Indra Gandhi Vidhwa Pension Yojna ke antargat BPL Parivar ki Vidhwa Mahilaye hi iske liye aavedan karke Labh prapt kar sakti hai.

Delhi Vidhwa Pension Yojna

Delhi Government ne Delhi ke Vidhwa Mahilaon ko Labh pahuchane ke liye shuru kiya hai, Jo ki is Yojna ke tahat Delhi Sarkar dwara Besahara ho chuki Mahilaon ko Rs. 25,00 Rupaye ki Rashi pradan kiya jata hai. Is Yojna ka mukhya udeshya Vidhwa Mahila ko Jivan Yapna karne ke liye aarthik madad pradan karna hai.

Gujarat Vidhwa Pension Yojna

Gujarat Vidhwa Pension Yojna me Vidhwa Mahilaon ko Direct Benefit Transfer (DBT) ke madhyam se Per Month Direct Financial Assistance pradan ki jati hai. Jiske liye Gujarat ki Vidhwa Mahilaon ko Last Date se pahle Aavedan karna hoga. Ya phir iske liye kisi Public Service Center se Application prapt kiya ja sakta hai.

Uttar Pradesh Vidhwa Pension Yojna

UP Chief Minister dwara apne Rajya ke Vidhwa Mahilayen ko Sahayata Rashi pradan karne ke liye is Yojna ko Launch kiya gya hai, Vidhwa Pension Yojna ke tahat Sarkar dwara 18 Varsh se lekar 60 Varsh tak ki Vidhwa Mahila ko Rs. 300 Rupaye ki Rashi unke Bank Account me Transfer ki jayegi.

Isliye UP Government dwara ek Online Portal bhi Launch kiya gya hai, Jiske madhyam se Besahara Vidhwa Mahila ko aavedan karne ke baad Labh pahuchaya jayega. Aap is sspy-up.gov.in Website par jakar Vidhwa Pension Yojna ke liye aavedan kar sakte hain.

Vidhwa Pension

Eligibility Criteria For Vidhwa Pension Scheme 2020

  • Is Yojna me sirf Vidhwa Mahilayen hi Monthly Pension prapt karne ke liye Aavedan kar sakti hai.
  • Iske liye Vidhwa Mahila apne Rajya ki Food Processing Department ke official website par aavedan ke liye eligible hai.
  • Vidhwa Pension Yojna ka Labh 18 Varsh se lekar 60 Varsh ke bich ki Mahila prapt kar sakti hai.
  • Yadi koi Mahila kisi ke sath Purn Vivah kar chuki hai to kisi bhi Rajya Sarkar dwara diye jane bali Vidhwa Pension ka Labh nahi utha sakti hai.
  • Aur jab koi Vidhwa ki Bachche Adult na hone ya Adult huye Mahila ki dekhbhal me Unable hain to is Yojan ke liye vah eligible hai.

Important Document

  • Aadhar Card
  • Income Certificate
  • Age Certificate
  • Death Certificate of husband
  • Residence Certificate
  • Bank Passbook
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

How To Apply For Vidhwa Pension Scheme 2020-21?

  • Sabse pahle apne Rajya ke Food and Processing Department ke official website par visit karen.
  • Iske home page se Vidhwa Pension bale option par click karna hai.
  • Click karne ke baad is page se Apply Now par click karen.
  • Ab aapke Screen par Registration Form show ho jayega.
  • Isme puchhi gyi sabhi Jankari ko bharen.
  • Ab apna sabhi Mahatvapurn Document ko Scane karke Upload karke Submit par click kar den.

How To Check Status of Vidhwa Pension Scheme 2020 Application?

  • Food and Processing Department ke official site par visit karen.
  • Ab aap Log.In Id or Password ki madad se Log.in karen.
  • Iske baad aapko dusre page par Application Status bale option par click karna hai.
  • Isme aap Aavedan ke Samay prapt huyi Registration Number aur Account No. ko enter karen.
  • Ab Captcha Code enter karke Submit par click kar den.
  • Aapke Screen par Application Status Show ho jayega.

Vidhwa Pension Yojana State Wise List 2020

Name of The StateOfficial Link
Andhra PradeshClick Here
Arunachal PradeshClick Here
AssamClick Here
BiharClick Here
ChattisgarhClick Here
ChandigarhClick Here
DelhiClick Here
GujaratClick Here
JharkhandClick Here
KeralaClick Here
KarnatakaClick Here
Madhya PradeshClick Here
MaharashtraClick Here
OdishaClick Here
PunjabClick Here
RajasthanClick Here
SikkimClick Here
Tamil NaduClick Here
UttarakhandClick Here
Uttar PradeshClick Here

Leave a Comment