Uttar Pradesh Shramik Majdur Bhatta Yojna 2020:- Aap jaan rahe hain ki COVID-19 Coronavirus ke karan Central Government ke Nirdesh ke anusar pure Desh bhar me Lockdown lagu kar diya gya hai, Jiske chalte sabhi Rajya ke Nagrik apne Gharo me hain. Aise me Uttar Pradesh ke Mukhyamantri ne UP Coronavirus ko apne dhyan me rakhte huye Majdur Bhatta Yojna 2020 ki Opening ki hai, Jiske bare me ham is article ke madhyam se puri jankari pradan karne ja rahe hai. Agar aap UP Majdur Bhatta Yojna 2020 ki puri jankari prapt karna chahte hain to is Post ko last tak jarur padhen.
Uttar Pradesh Chief Minister Yogi Aditya Nath Ji ke dwara is COVID-19 Mahamri me Majdur Bhatta Yojna ki shuruaat kiya gya hai, Jiske antargat UP ke 15 Lakh se adhik Dihadi Majduro aur Construction Area me Karya karne bale 23.37 Lakh Majduron ki Madad ke liye Partyek Vyakti ko Rs. 1000 Rupaye ki Bhatta pradan karne ka elan kiya gya hai. Iske liye is article me aap sabhi ke liye isse sambandhit saari information uplabdh kiya hai.
Contents
Uttar Pradesh Majdur Bhatta Yojna 2020
Batate chale ki Uttar Pradesh Mukhyamantri ke Nirdesh ke anusar Labour Department 15 Lakh se adhik ya jitne bhi Dihadi Majdur Register hain, Unhe Rajya Sarkar dwara 1000 Rupaye ki Rashi direct unke Bank Account me Transfer kiya jayega. Aise to abhi badi badi Companies ne apne Workers ko Gharo me rahkar Kaam karne ki Permission de di hai.
Lekin is Coronavirus Mahamari me kisi bhi Rajya ke Shramik Majduron ko kisi prakar ki Kaam karne ka koi Sadhan nahi hai, Aise me Majdur agar koi Galat Kadam uthata hai to uske Parivar ko us Samasya ka samna karna pad sakta hai aur pareshani badh sakti hai. Isliye UP Government ne Majdur Bhatta Yojna ke madhyam se apne Rajya ke City Development ke 15 Lakh Dihadi Safai Karamchari Aur 58000 Village Meetings me se 20-20 Majdur ko is Yojna Labh pradan karne ke udeshya se shuru kiya hai.
Uttar Pradesh Labor Maintenance Scheme Overview
Name of Scheme | Majdur Bhatta Yojna 2020 |
Started by | Chief Minister Yogi Aditya Nath |
Launched Dates | 21 March 2020 |
Beneficiary | State Workers |
Objective | Rajya Ke Majduro Ko Bhatta Pradan Karna |
Official Website | Click Here |
किन मजदूरों को मिलेगा इस योजना का लाभ
Uttar Pradesh Majdur Bhatta Yojna 2020 ka Labh in Nimnlikhit Logo ko Pradan karaya jayega.
- Rickshaw Pullers (रिक्शा चलाने वाले)
- Skimmers (खोमचे बनाने वाले)
- Street Hawkers (रेहड़ी लगाने वाले)
- Hawkers (फेरी करने वाले)
- Construction workers (निर्माण कार्य करने वाले)
- Labour Department (श्रम विभाग)
- City Development (नगर विकास)
- Gram Sabha (ग्राम सभाओं)
- Tanga Driver
- Tempo / Auto / E Rickshaw Driver
UP Majdur Bhatta Yojna ke antargat diye jane bali Rashi Direct Labhrthi ke Bank Account me sarkar dwara Transfer kiya jayega, Isliye Labharthi ka apna Bank Account hona jauri hai, Jo ki Bank Account unke Aadhar Card se Link hona bhi anivarya hai.
Eligibility Criteria For Majdur Bhatta Yojna 2020
- Is Yojna ka Labh uthane ke liye sabse pahle ek Uttar Paradesh ka Sthai Nivasi hona anivarya hai.
- Majdur Bhatta Yojna ka Labh Labour Department, Nagar Vikas, Gram Sabha jaise Register Majduron ko diya jayega.
- Agar aapke pass Labour Department, Nagar Vikas ya Gram Sabha me kisi ka bhi Register Certificate nahi hain to aap is Yojna ka Labh nahi utha sakte hain.
यूपी भरण पोषण योजना स्थान्तरित धनराशि
Aap sabhi ko bata den ki Live Press Conference ko Sambodhit karte huye Uttar Pradesh ke Mukhyamantri dwara bataya gya ki Daily Work karne bale Various Category ke Majduro Riksha Chalak, Khomechas, Street Vendors, Hawkers, Construction Workers, E-Rickshaw Drivers Ityadi jaise Majdur Bhatta Yojna ke tahat abhi tak 8 Crore 17,000 Rupaye se adhik Amount jaari ki gyi hai, Jisme se 11 Lakh se adhik Construction Workers ke Bank Account me Rs. 1000 Rupaye ki Rashi Vitrit kar di gyi hai.
Jabki UP Mukhyamantri ne yah bhi bataya ki Rajya me 1.65 Crore se jyada Antyodaya Scheme, MNREGA and Labor Department me Register Construction Workers aur Dehadi Majduro ko Free me Ek Mahine ka Ration pradan karaya jayega. Aur isi ke sath Labour Department me Registered 20.37 Lakh Majduron ko unki aarthik sahayata ke liye DBT ke madhyam se Bank Account me 1000 Rupaye bheje ja rahe hain.
How To Apply For Uttar Pradesh Majdur Bhatta Yojna 2020 Online?
Uttar Pradesh ke jo bhi Shramik Majdur Bhatta Yojna 2020 ke liye aavedan karna chahte hain to uske liye niche step by step tarika batlaya gya hai, Aap use follow karke kafi aasani se online aavedan kar sakte hain.
- Sabse pahle Labour Department ke official website par visit karen.
- Iske home page par jane ke baad Online Registration and Renewal bale option par click karen.
- Yaha par ek naya page open ho jayega, Isme se aapko niche diye gye Registration Now bale option par click karna hai.
- Phir se ek page open ho jayega, Isme aapko New Registration par click karna hoga.
- Ab aapko Nivesh Mitra Portal par bhej diya jayega. Is page se UP Majdur Bhatta Yojna Online Aavedan Form 2020 open karne ke liye Here Entrepreneur Login Section ke tahat Register Here par click karen.
- Ab is prakar se Registration Form open ho jayega, Aap isme puchhi gyi saari jankari ko bharen.
- Sabhi jankari bharne ke baad Register bale button par click kar den.
Official Website:- Go Here
2nd Step Offline Application Form
Shramik Bharan Poshan Bhatta Yojna ke antargat apna Application Form aur Registration ke liye Nagar Nigam me jakar Application Form prapt kar sakte hain. Is Yojna ke tahat Uttar Pradesh ke Logo ko Registration karne ke liye Nagar Nigam, Nagar Palika, Nagar Nikay dwara Side Form jaari kiya gya hai, Isme us Vyakti ke bare me aapko jankari mil jayegi.
Gramin Area me Dainik Jivan Yapan karne bale Labharthi ke liye Information upload karne ke liye Side Form!
Leave a Comment