Sarkari Yojna UP

UP Migrant Workers Online Registration – उत्तर प्रदेश प्रवासी मजदूर घर वापसी पंजीकरण

UP Pravasi Majdur Online Registration:- Hello Friends, Aaj aap sabhi ko is Post ke madhyam se Uttar Pradesh Pravasi Majdur Vapasi Online Registration ke bare me jankari diya ja raha hai. Jaise ki aap sabhi jante hain ki aajkal pure Bharat me Coronavirus Sankrman ko rokne ke liye Kendra Sarkar ne Desh bhar me Lockdown jaari kar diya hai. Lekin bhaut se Pravasi Majdur, Students, Tourist jaise aur bhi bahut saare log abhi bahar kisi aur Rajya me fase huye hai. Jiske karan un sabhi ko bahut si kathinaiyon ka samna karna pad raha hai. Isi problem ko dekhte huye Uttar Pradesh Government ne dusre Rajya me fase huye logo ko apne ghar vapas bulane ke liye UP Pravasi Ghar Vapasi Yatra Yojna ki shuruat ki hai.

Is Yojna ke tahat jitne bhi Pravasi Majdur ya anya kisi bhi Uttar Pradesh ke vyakti jo Lockdown Mahamari ke chalte alag alag Rajyo me fas chuke hai, Aur ba wo apna ghar vapas aana chahte hain. To iske liye UP Government ne ek website jaari kiya hai, Jispar sabhi Pravasi Majdur apna Online Registration karbakar ghar vapas aa sakte hain. Jiske bare me sabhi mahatvapurn jankari aap sabhi ke liye is article me share kiya ja raha hai.

Contents

UP Migrant Workers Online Registration Form 2020

Aap sabhi ko bata den ki UP Chef Minister Yogi Adityanath ke dwara anya Rajyo me fase logo ke vapasi ke liye Pravasi Shramik Vapsi Online Registration Form ko bharne ke baad kisi bhi Pravasi Majdur apne Rajya vapas aa sakte hain.

Aur sath hi Uttar Pradesh Sarkar dwara Pravasi Workers ke ghar vapasi ke liye Toll Free Helpline Number bhi jaari kiya gya hai. Jo bhi Pravasi Sharamik dusre Rajyo se is lockdown me apna ghar aana chahte hain ve is post me diye gye Toll Free Helpline Number par Call karke aur bhi jankari prapt kar sakte hain. Aur Online Registration Form bharne ke liye official website uplabour.gov.i or upbocw.in par ja sakte hain.

Isliye is post ke madhyam se Uttar Pradesh ke un sabhi Pravasi Majduro ko suchit kiya jata hai ki yadi aap apne ghar ab vapas aana chahte hain to jitna jald ho sake iske liye online Registration Form bhar sakte hain.

उत्तर प्रदेश प्रवासी मजदूर वापसी ऑनलाइन पंजीकरण 2020

Sabhi Pravasi Shramik/Majdur aur Students official website par jakar apna Registration kar sakte hain, Jiske baad Nagrik E-Pass lekar apne ghar vapas aa sakte hain. Aur Uttar Pradesh Sarkar dwara jaari kiye gye UP Majdur Helpline Number par Call karke apna Registration kar sakte hain.

Name of Scheme UP Pravasi Majdur Return Online Registration
Name of Deparment Uttar Pradesh (Labor Department)
State Uttar Pradesh
Started by Chief Minister Yogi Adityanath
Objective Dusre Rajyo Me Fase Logo KO Ghar Vapasi
BeneficiaryPravasi Majdur, Students And Other Person
Toll Free Helpline No. 1075 (Toll-Free)
Article Category UP Migrant Workers Online Registration
Official Website upbocw.in / uplabour.gov.in

Pravasi Shramik / Majdur Online Registration Form

Uttar Pradesh ke jo bhi Nivasi is Lockdown me dusre Rajya me fase hain wo ghar vapasi ke liye Helpline Number par Call karke sahayata ki mang kar sakte hain, Hamne is post me State Wise Number ka List niche provide karaya gya hai. Aur is se judi saari information bhi aap sabhi ke sath share kiya gya hai, Taki aapko Online Registration Form bharne me kisi bhi prakar ki samashya na ho, aur apna Rajya bhi aasani purvak aa saken.

Aise bhi Kendra Sarkar dwara Lockdown 3.0 badhane se dusre Rajyo me rah rahe sabhi Pravasi Majduro ko aur jyada samashya ka samna karna pad raha hai, Isliye wo apne ghar jald se jald lautna cahte hain. To aap niche diye gye News Cut me dekh sakte hain ki Uttar Pradesh Sarkar ne sabhi Pravasi Majdur logo ko unke ghar vapasi ke liye kya sandesh diye hain.

UP Pravasi Registration Helpline Number

Name of State (Toll Free) Helpline Number
गोवा / कर्नाटक से उत्तर प्रदेश9415904444 और 9454400135
महाराष्ट्र से उत्तर प्रदेश7007304242 और 9454400177
गुजरात / दमन / div / दादर और नगर हवेली उत्तर प्रदेश के लिए8881954573 और 9454400191
पश्चिम बंगाल / अंडमान और निकोबार से उत्तर प्रदेश9639981600 और 9454400537
उत्तर प्रदेश में ओडिशा9454400133
तेलंगाना / आंध्र प्रदेश से उत्तर प्रदेश98866400721 ​​और 9454402544 और 9454400135 हैं
अरुणाचल प्रदेश / असम / नागालैंड / मेघालय / मणिपुर / त्रिपुरा / मिजोरम से उत्तर प्रदेश9454441070 और 9454400148 है
पंजाब और चंडीगढ़ से उत्तर प्रदेश9455351111 और 9454400190 है
मध्य प्रदेश / छत्तीसगढ़ से उत्तर प्रदेश9454410331 और 9454400157 है
राजस्थान से उत्तर प्रदेश9454410235 और 9454405388 है
हरियाणा से उत्तर प्रदेश9454418828
बिहार / झारखंड से उत्तर प्रदेश9621650067
दिल्ली / जम्मू-कश्मीर / लद्दाख से उत्तर प्रदेश8920827174 और 7839854579 और 9454400114 और 7839855711 और 7839854569
उत्तराखंड / हिमाचल प्रदेश से उत्तर प्रदेश8005194092 और 9454400155
तमिलनाडु / पांडिचेरी से उत्तर प्रदेश9415114975 और 945400162 है

Uttar Pradesh ke jo bhi Pravasi Majdur, Students ya other wise kisi bhi vyakti Lockdown Mahamari ke karan bus kisi bhi Rajya ya Pradesh me fas gye hain, To unko vapas ghar ane ke liye online Registration Form bharna hoga, Ya diye gye Helpline Number par Call karni hogi. Aur Call karne ke baad unhe aur bhi jankari pradan karai jayegi.

UP Praasi Shramik Return Rgistration Portal par Registration karne ke baad Sarkar ke dwara Special Train ya Bus se lane ke liye ek List taiyar kiya jayega, Jiske baad Pravasi Majduron ko Rajya vapas laya jayega.

Required Documents For UP Migrant Workers Registration

  • Aadhar Card
  • Residence Certificate
  • Mmobile Number
  • Residential Proof
  • Address to live in another state
  • Passport size photo

How To Apply For UP Migrant Workers Online Registration?

UP Migrant Workers Online Registration karne ke liye aap sabhi ko step by step method batlaya gya hai, Sath official link niche uplabdh karaya gya hai, Aap us Website se apna Registration kar sakte hain.

  • Niche diye gye link se iske official site par visit karen.
  • Ab iske home page par प्रवासी श्रमिक पंजीकरण उत्तर प्रदेश ke link par click karen.
  • Registration Form open ho jayega, Jisme puchhi gyi sabhi details ko enter karen.
  • Fir se Next par click karke yaha par apna Details ko bharkar Submit par click kar den.
  • Aur OTP ko enter karke apne aavedan form ko bharen aur sabhi mahatvapurn document ko upload karen.
  • Last me submit par click karke apne form ka ek print out kar len.

Official Link:-  http://uplabour.gov.in/ या http://upbocw.in/ 

Updateयूपी प्रवासी के लिए ऑनलाइन रजिस्ट्रेशन शुरू हो चूका है और इसके लिए ऑनलाइन फॉर्म http://jansunwai.up.nic.in/ से भरा जा सकता है.

UP Pravasi Majdur Online Registration FAQs:-

Q.1 UP Pravasi Majdur Vapasi Yojna me online Registration kaise karen.

Ans:- Aap iske official site ke link par jakar online Registration kar sakte hain.

Q.2 UP Pravasi Shramik Registration ke liye sabse aavashyak document kiya hai.

Ans:- Aavedan karne bale Pravasi Majdur ko apna Aadhar Card, Contact Number, ID Card, Passport Size Photograph ki aavashyakta hogi.

Q.3 Yadi mere pass apna bahan hai aur mai apne Rajya vapas jana chahta hu to hame kya karna chahiye.

Ans:- To iske liye aapko E-Pass ki jarurat hogi, Aap waha par E-Pass ko ullekh karke apne ghar vapas aa sakte hain.

Q 4. Kya hame apne Rajya pahuchane ke baad sabhi se alag rakha jayega.

Ans:- Ha, Aapko apna Rajya vapas lane ke baad 14 dino ke liye quarantine Center me sabhi se alag rakha jayega.

Leave a Comment