UP Board 10th Result 2020:- Hello Friends, UP Board ne Class 10th ka Result apne offical site par jaari karne ja raha hai, Yadi aap bhi UP Board ke dwara liye gye Class 10th ke Examination me bhag liye the aur apne Result ki search kar rahe hain to ab apne Result ki janch bahut jald iske official site se kar payegen. Isliye hamne is page me aap sabhi ko UP Board Class 10th Result online check karne ke liye puri jankari pradn kiya hai taki aap is post ko pura padhkar apna Result aasani purvak download kar saken.
Aapko to sabse pahle bata den ki Uttar Pradesh Board ke dwara Class 10th ka Result 2020 iske official site upmsp.edu.in or upresults.nic.in par jaari kiya jayega. Jo April 2020 ke 1st ya 2nd week me puri tarah se jaari karne ki sambhavna hai, Jise aap is page me diye gye UP Board ke official site ka direct link se online check kar sakte hain.
Contents
Uttar Pradesh Board Class 10th Result 2020
Board of High School And Intermediate Education, Uttar Pradesh ke dwara Class 10th ka Exam ke bare me aap sabhi to jante honge ki 18 February 2020 se lekar 3 March 2020 ka saphaltapurvak aayojit kiya gya tha, Jisme lakho Sutdents ne bhag liye the. Jo ab apne Result ki search UP Board ke official site par kar rahe hain. To un sabhi ko is post ke madhyam se bataya ja raha hai ki UP Board ke Authority dwara bahut jald 10th Result ki ghosna hone bala hai. Jise aapko check karne ke liye iske official site par hi jana hoga.
Aise bhi Exam me biathne bale Sutdents ke liye Result janana bahut hi mahatvapurn hota hai kyonki unko agle class me jane ke liye subjects ko taya karna hota hai ki hame kun sa subject ko agle Course me slelect karna hai. Yadi aap UP Board Class 10th Result 2020 ke bare me kuchh aur soch rahe honge ki hame Result email id ya postal address ke dwara bheja jayega to aisa bilkul nahi hone bala hai. Uttar Pradesh Board ke dwara 10th ka Result sirf online mode ke madhyam se jaari kiya jayega jise aap niche diye gye link se onlne check kar payegen.
Lekin aap sabhi ko Uttar Pradesh ke official web portal se Class 10th Result check karne me jyada samshya na ho iske liye yaha par iska direct link bhi uplabdh karaya gya hai jise aap niche se dekh sakte hain. Aur apna Result iske officialy publish hone ke baad online check bhi kar sakte hain.
UP Board High School Result Overview
Organization Name | Board of High School and Intermediate Education, Uttar Pradesh |
Name of Exam | High School/10th Class |
Exam Date | 18 Feb to 03 March 2020 |
Article Category | UPMSP High School Board Result 2020 |
Issue Result | April 24, 2020 (Expected) |
Location | Uttar Pradesh |
Official Website | upresults.nic.in |
To jitne bhi Students ne UP Board ke Class 10th ke Examination 2020 me shamil huye hain aur apne Result ka wait kar rahe hain to aapko kuchh din aur rukne ki aavashyakta hai. Kyonki UP Board ke Authority ke dwara Class 10th ka Result April 2020 me niyamit roop se online jaari kar diya jayega.
How To Check Uttar Pradesh 10th Result 2020 Online
UP Board Class 10th Result online check karne ke liye aap sabhi ko yaha par step by step tarika batlaya gya hai jise follow kar aasani se online Result check kar sakte hain.
- Step 1:- Students ko iske official website par sabse pahle jane ki aavashyakta hai.
- Step 2:- Ab iske main page par Result bale section par click karen.
- Step 3:- Matric Result 2020 se sambandhit link ko yaha par khoje.
- Step 4:- Aur us link par click karen.
- Step 5:- Click karne ke baad ek naya page khul jayega.
- Step 6:- Yaha par apna roll number aur puchhi gyi details ko enter karen.
- Step 7:- Ab final ise submit par click kar den.
- Step 8:- Aapka Result aapke screen par show ho jayega jise download karke ek print our kar len.
Official Website | Click Here |
Check Result 2020 | Click Here |
Details Mentioned in UP 10th Result 2020
- Name of Student
- Father & Mother Name
- Roll Number
- School Code
- Certificate Number
- DOB
- Theory Marks
- Practical Marks
- Grade Points
UP Board 10th Result Re-evaluation
Jo bhi Students Uttar Pradesh Board ke dwara official site se apna Result online check karne ke baad apne Result se satisfied nahi hain to ve Re-check ya Re-evaluation ke liye form bhar sakte hain. Board authority ke dwara 10th Result declare karne ke baad Re-check ya Re-evaluation ke online form jaari kiya jayega jise aap onlne bhar sakte hain. Aur iske liye aapko aavedan fees ke roop me kuchh payment bhi karna hoga.
UP Board 10th Compartment Result 2020
Yadi koyi Students UP Board Class 10th ki Exam 2020 me faile ho jate hain to UP Board ke dwara Compartment Exam ka aayojan bhi kiya jayega jisme un sabhi Students jo UP Board ke Exam me achha nahi kar paye hain unko iske liye aavedan form bharna hoga. Lkin iske liye Exam har saal July ke moth me aayojit ki jati hai.
Leave a Comment