RTPS Bihar Online Service 2020:- Hello Friends, Yadi aap Bihar Rajya ka ek Nivasi hain, Aur Caste, Income, Residence Certificate prapt karna chahte hain, To ab aap bahut hi aasani se iske liye online Application Form bhar sakte hain. Bata den ki Bihar Sarkar ne Rajya ke Nagriko ko various services ka labh ghar baihte prpat karne ke liye ek RTPS Bihar Portal ko launch kiya hai. Yah Right to Public Service (RTPS) ek online portal hai, Jiski madad se Rajya ke Nagrik ghar baithe kai prakar ke Certificates ke liye online aavedan kar sakte hain.
Yah Bihar Public Service (RTPS) Online Caste, Income Residence and Residential Certificates banane ke liye Online Services pradan karta hai. Agar jo bhi Candidates Online Praman Ptra prapt karna chahte hain, Ve RTPS ke official website par online Application Form bhar sakte hain. Iske liye online aavedan kaise karen iski puri jankari is article me share kiya gya hai. Sath hi official link bhi provide karaya gya hai, Jiske jariye aap koi bhi Certificate aasani se bana sakte hain.
Agar jo bhi Candidates ab Caste, Income and Residence, or Domicile Certificate banvana chahte hain, Un sabhi ko is post ke madhyam se iform kiya jata hai ki Bihar RTPS ke official site par in saare Certificates ke liye online aavedan shuru ho chuka hai. Aap iske liye online Application Form bhar sakte hain. Aavedan karne ke kuchh din baad apna Certificate prapt kar sakte hain.
Contents
RTPS Bihar – Income, Caste, Residence Certificate Online Form
Aapko pata hoga ki Bihar ke Nagriko ko kuchh samay pahle Caste, Income, Residence ya kisi bhi Certificate banane ke liye Government Offices me jana padta tha, Jisko lekar logo ko kafi pareshani bhi hoti thi. Yahi sab samasyao ko dekhte huye Bihar Sarkar ne Bihar Public Service RTPS Online Portal ko launch kiya hai. Jispar Bihar Caste, Residence Certificate ya anya kisi bhi Certificates ke liye online Application uplabdh hai. Online Form bharne ke liye Candidates ke paas sirf Mobile Number and Aadhar Card ki aavashyakta hai. Kyonki Mobile No. ki madad se aapke mobile phone par SMS milenge.
Aap RTPS ke official website se Mobile No. ke jariye apne Certificate ka Status bhi check kar sakte hain, Status check karne ke liye aapke mobile number par ek OTP aayega, Aap yaha se tatkal Prman Ptra bhi banva sakte hain. Aur apne Application ka Status Mobile No. par SMS ki madad se jan sakte hain. Iske liye aapko RTPS aur Application Number type karke 56060 par Send karna hoga.

RTPS Bihar Online Application Form
Jaisa aapko bataya gya ki Bihar Sarkar alag-alag Certificates aur Schemes ke liye is RTPS Online Portal ko launch kiya hai. Yadi aap bhi apna Basic Certificate banvane ke liye soch rahe hai, Tab aap is Online Portal ka upyog kar sakte hain. Yah Portal Rajya ke Bachche aur Yuvaon dono ke liye important hai. Kyonki har Government Exam me Caste and Residence Certificate ki jarurat hoti hai. Jo Candidates ko Eligibility and Residence prove karne ke liye kaha jata hai.
RTPS Portal ki madad se Various Government Attested Certificates, Jaise Income, Caste, Resident, and Character Certificate banaya ja sakta hai. Iske official site se in Certificates ko banane ke liye is page me niche step by step method bataya gya hai.
RTPS Bihar Tatkal Application Certificate Online
Iske sath hi Bihar Government ne Tatkal Certificate prapt karne ke liye online services shuru ki gayi hai. Yah bhi bilkul free service hai, Jo Bihar Sarkar ne hi Sanchalit ki hai. Aap kisi bhi Certificate ke liye Online Aavedan kar sakte hain. Isse kisi bhi Certificate ke liye aavedan karne ke 2 din baad Prman Ptra mil jayega. Sath hi Application Receipt bhi mil jayegi.
Ichhuk Candidates RTPS Bihar Caste, Income or Residence Certificate ke liye online aavedan kar sakte hain.

How To Apply Online For Bihar RTPS Certificate 2020?
Yadi aap Bihar RTPS Certificate online banvana chahte hain, To niche bataye gaye steps ko follow karke online aavedan kar sakte hain.
- Aap official website par visit karen.
- http://210.212.23.51/rtps/Home.aspx
- Home page se Apply Online ke link par click karen.
- Iske baad screen par terms and conditions ko padh sakte hain.

- Aap agle page par chle jayenge, Yaha aap se Aadhar Number & Name hindi english me puchha jayega.
- Ab aap Certificate, Certificate Center ko select karen.
- Form bharne ke baad submit par click kar den.
बिहार RTPS जाति, निवास, आय प्रमाण पत्र ऑनलाइन फॉर्म 2020 के लिए निर्देश
- Aap in Certificates ke liye Online Aavedan RTPS ke official site par bhar sakte hain.
- Website par jane ke baad aapko RTPS Bihar Online Form par click karna hai.
- Yaha aapko terms and conditions ke sath agree hokar next page par jana hoga.
- Phir Sthan ko Select karna hai, Jaha se aap Certificate prapt karna chahte hain.
- Iske baad Name, Mobile Number jaise aur puchhi gayi details jankari ko enter karke next par click karna hai.
- Next par click karne ke baad ek Verification Code milega, Is Code ko enter karne ke bad aage ki process ke liye badhna hoga.
Check Bihar RTPS Application Status by SMS
Apne Certificate ki Application Status Online aur SMS ki mada se check kar sakte hain. Status online check karne ke liye official site par aur SMS par ja sakte hain.
SMS Service un logon ke liye important hai, jo Internet nahi use karte hain, Aap apne Certificate ki Status aur delivery date ki jankari mobile ke madhyam se prapt kar sakte hain.
Send to RTPS <Application ID> 56060
Is number par SMS ke madhyam se RTPS Application Status ki janch kar sakte hain.
RTPS Bihar Important Information
Aapko Certificate Prpat karne ke liye Anchal ya Bihar Building ke Counter par jana hoga.
Online Application ke samay Candidate ka Signature nahi liya ja raha hai. Isliye Certificate prapt karne ke samya Zone ke Counter par Candidates ko dono documents par Signature karna hoga.
Aur Certificate prapt karne ke samay Candidates ko apne Phachan ke roop me Election Commission of India dwara voting ke liye various identy proof me kisi ek ko Counter par dikhana hoga.
AJIT BASKEY
tyjufyvk
o8yuou9p87[