Rajasthan E Mitra App Registration Online Form:- Jaisa ki aap sabhi jan rahe hain ki is samay me sabhi desh Coronavirus Locdown Mahamari se gujar raha hai. Iske karan Sabhi Rajya ke Sarkar ne apne Rajya se dusre Rajyo me fase huye sabhi Parvasi Majduro ko Vapas lane ke liye pura pryash kar rahe hain. Aise me Rajasthan Sarkar ne dusre Rajyo me fase huye Pravasi Majdur ko lane ke liye Rajasthan E Mitra App launch kiya hai. Jiske madhyam se Rajasthan ke sabhi Pravasi Majdur Online Registration karbakar apne Rajya Rajasthan me vapas aa sakte hain.
Aap sabhi ko bata den ki Rajasthan E Mitra App ko download karke iske liye online Registration kar sakte hain, Jiski ghosna khud Rajasthan ke Mukhyamantri (Ashok Gehlot) ne kiya hai. Taki waha ke sabhi Pravasi Majdur ko unke ghar vapas laya ja saken.
Contents
Rajasthan Pravasi Online Registration Form
Rajasthan ke jo bhi Pravasi Majdur Lockdown Mahamari ke chalte alag alag Rajyo me fase huye hain wo Rajya Sarkar ke dwara launch kiye gye Rajasthan E Mitra App ko download karke online Registration kar payenge, Jiske bare me sabhi jankari is page me share kiya gya hai ki aap kis Prakar se iske liye Online Registration kar sakte hain, Aur kya kya iske liye karna hoga.
Yadi aap Rajasthan Pravasi Majdur Online Registration Form se sambandhit aur bhi jankari prapt karna chahte hain to Rajya Sarkar ke dwara jaari kiye gye Hepline No 18001806127 itna par Call karke jankari le sakte hain. Aur ha Ummidbaar ko dhyan rakhna hai ki bahi log online Registration kar sakte hain jo Rajasthan ke Nagrik hain aur kisi anya Rajya me Lockdown ke karan fase huye hain, Ya apna ghar vapas aana chahte hain.

Rajasthan Migrant Workers Registration – Overview
State Government | Rajasthan Sarkar |
Name of The Scheme | Pravasi Majdur Registration |
Started by | Rajashtan Chief Minister (Ashok Gehlot) |
Objective (उद्देश्य) | अन्य राज्यों में फंसे राजस्थान के लोगों की वापसी |
Beneficiary | Pravasi Majdur, Students, Tourist And Other Person |
Apply Mode | Online Mode |
Helpline No. | 18001806127 (Toll Free) |
Article Category | Rajasthan Migrant Workers Registration |
Official Website | emitraapp.rajasthan.gov.in |
Rajasthan Migrant Workers Registration Online Form
Rajasthan ke jitne bhi Pravasi Majdur jo Lockdown ke karan anya Rajyo me fase huye hain wo ab apna ghar online Registration Form bharkar aa sakte hain. Jabki Pravasi Majdur ke sath Jitne bhi Students ya other wise kisi bhi vyakti alag alag Rajya me hain wo bhi is Website ke madhyam se Registration karbakar Rajasthan Vapas aa sakte hain. Aap sabhi ko malum hona chahiye ki is karya ko karne ke liye Rajasthan Sarkar ne 19 IAS Officers ko jimmedari diya hai aur ek alag Tim banayi gyi hai.
Isliye Rajya Sarkar ne sabhi Pravasi Majduro ke liye Helpline Number bhi jaari kiya hai taki kisi bhi prakar ki samashya aane par wo Call kar saken. To aap Online Registration Form E-Mitra App ko online download karke bhar sakte hain. Jise download karne ke liye is page me direct link uplabdh karaya ja chuk hai, Aap chahe to Google Play Store me jakar bhi is App ko download kar sakte hain.
राजस्थान प्रवासीयों के लिए दिशा निर्देश:-
- Pravasi Majdur ke pass apna Identity Card or Aadhar Card hona jaruri hai.
- Aur yatra ke samay Pravasi ko Social Distancing ko apna dhyan rakhna hoga.
- Jabki Gramin Area ke Nivasi karne bale Pravasi apne ghar vapas laut kar aate hain, To iski Information Patwari dena hoga.
- Aur Pravasi Majdur ko ghar vapas lautne ke baad unhe 14 dino ke liye Quarantine Center me rakha jayega, Bahar aane bale Pravasi ko kisi se milne nahi diya jayega.
- Apna ghar aane se pahle Pravasi ko ek baar apna Corona Test jarur karbana hoga.
- Sarkar ke dwara diye gye sabhi niyam aur desh nirdesh ko palan karna hoga.
- Iske baad aapko apne swaasth ki jankari Doctor or Administration (प्रशाशन) ko dena hoga.
- Aur jo vyakti Registration karenge, Unhe Iski Deparment dwara Call karke Samay, Date aur Sthan ki jankari de diya jayega.
Document Required To Apply For Rajasthan Migrant Workers Online
- Aadhar Card & Identity Card
- Mobile Number
- Pravasi Jaha Fase Hain Waha Ka Address
- Native Address
- And Other Address
How To Register At Pravasi Majdur E-Mitra App?
Yaha par Rajasthan E Mitra App Download karke Online Registration Form bharne ke liye step by step tarika batlaya gya hai, Jise follow karke aap aasani se apna Registration Form online bhar sakte hain.
- Aap iske official site par niche diye gye link se iske official site par visit karen.
- Aap apne Mobile me E Mitra App online download karne ke baad ise open karen.
- Ab aapko yaha par Pravasi Majdur Registraion ke liye link mil jayega.
- Aap is link par click karen,
- Yaha par ek naya page khul jayega.
- Is page me do link hoga ek un logo ke liye jo Rajasthan vapas ana chahte hai, Aur dusra un logo ke liye jo Rajasthan se dusre Rajyo me jana chahte hain.
- Aap ek link ko select karke Registration form ko sahi se bhar den.
- Form bharne ke baad use Re-check karke submit bale button par click kar den.
- Iske Deparment ke dwara Form ko accept karne ke baad aapko jankari diya jayega.
Apply Online Form | Click Here |
Official Website | emitra.rajasthan.gov |
E-Mitra Aap Download | Click Here |
Note:- Aavedan karte samay Pravasi Majdur ko Aane aur Jane par jyada dhyan dena hoga, Yadi aap Rajasthan se jana chahte hain Inward (आवक) par click karen, Aur jab kisi anya Rajya se aap Rajasthan aana chahte hain to Outword (जावक) par click karke apna Form ko bharen. Kyonki Inward (आवक) or Outword (जावक) in dono ke liye alag alag form Rajya Sarkar ke dwara nirdharit kiya gya hai.
Frequently Asked Questions
Q. Kya Rajasthan Government ke dwara Rajya ke Pravasi Majdur ko vapas lane ke liye online form jaari kar diya gya hai.
Ans:- Ha, Rajya Sarkar ne iski ghosna khud ki hai.
Q. Ghar vapasi ke liye online Registration Form kaha se bhara jayega.
Ans:- Aap Registration form E Mitra ke official website par se online bhar sakte hain, Ya aap apne Mobile me App ko download karke bhi form bhar sakte hain.
Q. Iske liye hame kisi mahatvapurn document ki aavashyakta hai.
Ans:- Nahi, Aapko sirf apni jankari dena hoga taki Sarkar ko pata chal sake ki itne logo ko vapas lana hai.
Q. Hame ghar vapas aane ke baad kitne dino ke liye alag rakha jayega.
Ans:- Anya Rajyo se lane ke baad Pravasi Majdur ko 14 dino ke liye Quarantine Center me rakha jayega, Uske baad ghar bheja jayega.
Leave a Comment