Pradhan Mantri Awas Yojna 2020:- Jaisa aap sabhi jan rahe hai ki Kendra Sarkar dwara Desh ke Nagriko ke liye Varsh 2020 me bahut se Yojnao ki shuruaat ki gyi hai, Taki sabhi Log in saari Yojnao ka fayda mil saken. To Bharat Sarkar ne unhi me se ek PM Awas Yojna ki shuruaat kiya hai, Jiske antargat Desh ke Aam Nagrik ko apna Ghar lene ka ek Sapna pura ho sakta hai. Jiske liye aap sabhi ko is article ke madhyam se batlaya gya hai ki aap kis prakar se is PM Awas Yojna 2020 ka Labh utha sakte hain, Aur iski puri jankari kya hai.
Contents
Pradhan Mantri Awas Yojna 2020
Aapko sabse pahle bata den ki Pradhan Mantri Awas Yojna ki shuruaat 25 June 2015 ko kiya gya tha. Is Yojna ka mukhya udeshya tha ki Desh ke har Garib Praivar ko apna Ghar uplabdh karbaya ja sake, Jisse sabhi Kamjor Varg (EWS) ya Lower Income Group (LIG) ke Logo ko apne Ghar khridne ke sapna ko pura kar sakte hain.
Aap is Pradhan Mantri Awas Yojna ke antargat Shahri ya Gramin Area me kisi bhi jagha Credit Linked Subsidy Yojna ke taur par apna Ghar khird sakte hain, Kyonki is Yojna ka Lakshya Saal 2022 tak sabke apna Ghar hone ke Lakshya rakha gya hai, Jiski Kshetr lagbhag 30 Varg Meter ho sakta hai.

(PMAY) Pradhan Mantri Awas Yojna 2020
Aapko pata hai ki abhi Pure Desh bhar me Corona Mahamari ka kahar faila hua hai jiske karan sabse jaya Samasya Garib Janta ko uthana pad raha hai, Iske karan Kendra Sarkar ne bahut se Sarkari Yojnao ko lauch kiya hai jisse sabhi ko madad pahuchaya ja saken.
Lekin Desh me bahut se aise bhi Log hain jinke pass apna khud ka Ghar nahi hain, Aise Logo ki sahayata ke liye Central Government dwara PM Awas Yojna ki madad se unhe apna Ghar banbane me Sahayata Rashi pradan kiya jayega, Jiske tahat Shahri ya Gramin kisi bhi Area me apna Ghar khrid sakte hain.
Agar aap bhi is yojna ka Labh uthana chahte hain to is post me bataye gye tarike ke anusar iska Labh aasani purvak utha sakte hain. Aur jaisa aapko upar batlaya gya ki Pradhan Mantri Awas Yojna ke tahat Saal 2022 tak Lagbhag 2 Crore Ghar banane ka Lakshya rakha gya hai, Jise bahut jald pura karna chahta hai.
PM Awas Yojna
Agar Desh ke jo bhi Nagrik Prdhan Mantri Awas Yojna 2020 ka Labh utha chahte hain unhe is post ke madhyam se Suchit kiya ja raha hai ki is Yojna ka Labh dene ke liye mukhya roop se 3 Category banayi gyi hai, Jo niche diya gya hai.
- Economically Weaker (आर्थिक रूप से कमजोर)
- Lower Class (निम्न वर्ग )
- Middle Class (मध्यम वर्ग)
How To Apply For Pradhan Mantri Awas Yojna 2020 Online?
Agar aap is Yojna ke liye aavedan karna chahte hain to 2 tarah yani ki Online ke sath sath Offline bhi aavedan kar sakte hain, Jiske liye niche tarika batlaya gya hai, Aur iske official portal ka direct link bhi provide karaya gya hai.
1. Step Online:-
- Iske liye aap Sabse pahle aapko iske official website www.pmaymis.gov.in par visit karna hoga.
- Iske baad aapko Online Application Form bharna hoga, jiske liye aapko kuchh Mahatvapurn Document ki aavashyakta hogi.
- Jaise ki Aadhar Card / Pan Card / Driving License / Residence Certificate / Passport Size Photo Ityadi.
- Aur Aavedan ke aapko apna Annual Income Proof bhi deni hogi, Sath hi Pichhle 6 Mahine ka Bank Statement Aur Icome Test Return (ITR) ki Rashid aur 2 Mahine ki Salary Silip bhi deni hogi.
- Yadi aapke pass in saari Suvidha hai to aap PM Awas Yojna ke liye online aavedan kar sakte hain.
Official Website:- https://pmaymis.gov.in/
2. Step Offline:-
Labharthi yadi offline aavedan karna chahte hain to vah CSC Center ke madhyam se PM Awas Yojna ke liye aavedan kar sakte hain, Jiske liye unhe Rs. 25 /- + GST Charge bhi deni hogi.
How To Check Your Name in PMAY 2020 Beneficiary List?
Yaha par aapko Pradhan Mantri Awas Yojna Labharthi List iske official website se online check karne ke liye Step by step tarika batlaya gya hai.
- Sabse pahle iske official website https://pmaymis.gov.in par visit karen.
- Ab aap home page se Search Beneficiary bale option par click karen.
- Iske baad aap apna Aadhar Number enter karen.
- Aadhar Number enter karke Show bale button par click kar den.
- Aapke Screen par PM Awas Yojna Labharthi List show ho jayega.
Leave a Comment