PM Ujjwala Yojna List 2020:- Government of India ke dwara Pradhan Mantri Ujjwala Yojna Grabhi Rekha se niche rahne bali sabhi mahilao ki madad ke liye Bhartiye Kendra Sarkar ne ek pahla ki hai, PMUM Yojna 1 May 2016 ko Prime Minister Narendra Modi ke dwara Uttar Pradesh ke Ballia District se shuru ki gyi thi. Isliye aaj ke is post me aap sabhi ke liye Ujjwala Yojna 2020 ka labh uthane ke liye puri jankari share kiya ja raha hai. Aap is page ko follow karke is Yojna ka labh utha sakte hain.
Jaisa ki aap sabhi jan hi rahe honge ki COVID-19 ke karan pure Bharat me Lockdown ki samashya chal raha hai, Isliye Bharat Sarkar ne sabhi Garibi Rekha se niche rahne bali sabhi mahilao ko pure 3 mahine tak Gas Cylinder Free me uplabdh karane ki nirdesh diya hai.
To jo bhi Mahilaye Garibi Rekha se niche rahne bali hai, Ya jinka (BPL) List me naam hai un sabhi log PM Ujjawala Yojna 2020 ka Labh utha sakte hain. Yadi jinke pass nahi ve PMUY Se Registration Form online bhar sakte hain, Uske baad Free Gas Cylinder ke liye PMUY New BPL List me apna naam ko check kar sakte hain.
UPDATE:- COVID-19 Lockdown Mahamari Ke Karan Sabhi BPL Parivaro Ko Sahayata Pradan Karne Ke Liye Bharat Sarkar Ne Agle Tin Mahine Ke Liye Pradhan Mantri Ujjwala Yojna Ke Sabhi Labharthi Ko 3 Muft LPG Cylinder Pradan Karne Ki Ghosna Kiya Hai, Jiski Sabhi Jankari Aap Is Page Me Niche Se Dekh Sakte Hain.
Contents
Pradhan Mantri Ujjwala Yojana 2020
Ab aapko bata den ki PM Ujjwala Yojna Kendra Sarkar Dwara ek Funded Scheme hai Jiska Udeshya Desh ke BPL Parivaro ko (50 Milion) LPG Connection pradan karna hai. Aur sath hi pratyek LPG Connection par Rs. 1600 Rupaye bhi pradan kiya jata hai. Sarkar dwara is Yojna ke liye Total (8000 Crore) ka Budget Avantit bhi kiya gya tha.
To aapko upar bataya gya ki yah Yojna ki Shuraat Saal 2016 me ki gyi thi, Tab se lakho garib parivaro ko benefited kiya ja chuka hai. PMUY Yojna Present Samay me lagbhag 715 District ko Cover karti hai. Is Yojna ka mukhya udeshya tha ki BPL Parivaro ko LPG Gas Connection ke roop me svachchh indhan pradan karna hai. Jo bhi log is Yojna ka labh utha rahe hain un sabhi ko Sarkar ke taraf se agle 3 month tak Free Gas Cylinder provide karaya jayega.
PM Ujjwala Yojana – A Brief
Name of Scheme | Pradhan Mantri Ujjwala Yojana (PMUY) |
Concerned Ministry | Ministry of Petroleum and Natural Gas, Government of India |
Scheme Type | Centrally Funded Scheme |
Year | 2020 |
Launched By | Government of India |
Objective | Free Gas Cylinder |
Districts Covered | Toaal 715 |
Article Category | Scheme |
Official Website | https://pmuy.gov.in |
PM Ujjwala Yojana Eligibility & Selection of Beneficiary
Is Yojna ke tahat Muft LPG Connection aur Labh prapt karne ke liye Candidates ko kuchh Eligibility Critria ko pura karna hoga.
To aap niche diye gye Labharthi ke Selection ke liye aavashyak Eligibility ki janch kar sakte hain.
- Sabse pahle to ek Bhartiye Nagrik hona chaiye.
- LPG Connection ke bina Garib (BPL) Parivar ki vyasak mahila.
- Connection sirf Parivar ki Mahilao ke naam par jaari kiya jayega.
- Aavedak ke Parivaro ko kisi aur Yojna ka labh nahi uthana chaiye.
- In sabhi Labharthi ki pachan nimnlikhit seven category yani SECC 2011 List ya BPL gharo se ki jayegi.
- Aur aavedak ki Age 18 Varsh se adhik honi chaiye.
Pradhan Mantri Ujjwala Yojana Documents
Candidates ko Aavedan Form jama karte samay sabhi aavashyak Document ko provide karna hoga, Jo aap sabhi ko niche bataya gya hai ki aapko kun kun se Document ki jarurat hogi.
- Nagar Palika Adhyaksh Urban Area (शहरी क्षेत्र), Panchayat Gramin Area dwara diye gye BPL Certificate,
- BPL Ration Card,
- Passport Size One Photograph,
- One Recent Photo ID (Aadhaar Card or Voter ID Card),
- All Family Members Aadhar Number,
- Caste Certificate,
- Address Proof,
- Jan Dhan Bank Account Number,
How To Apply For PMUY Ujjawala Yojana?
PMUY Yojna ke tahat naye GAs Connection ke liye Aavedan Offline jama kiya ja sakta hai, Kyonki Nagriko ke liye koi online aavedan subidha uplabdh nahi. Lekin Aavedak is Yojna ke official site se online aavedan form prapt kar sakte hain.
- Aap diye gye link se iske official website par visit karen.
- Ab iske home page par Registration Section par click karen.
- Yaha par aapko PNMU Registration Form ke link par click karna hai.
- Click karte hi Application Form open ho jayega, Aap ise sahi se bhar den.
- Ab ise submit par click kar den.
- Last me Application Form ka ek print out nikla len.
Aavedan Form Download ऑफलाइन भरने के लिए
- Iske official site https://pmuy.gov.in itna par visit karen.
- Home page se diye gye Download Form bale tab par click karen.
- Yha par aapko sabhi prakar ke Form ka link dikhai dega.
- Aap apni Language ke anusar Ujjwala form Hindi ya English link par click karen.
- Click karte hi Application Form PDF dikhai dega.
- Aap Application form PDF ko download kare aur iska ek print out kar len.
Official Link | Click Here |
PMUY Application Form (English) | Click Here |
PMUY Application Form (Hindi) | Click Here |
How To Check PMUY New List Free Gas?
Jitne bhi logo ne Gas Connection ke liye aavedan kiya hai, Unhe New List Free Gas ki janch karne ki aavashyakta hai, Jo aap iske official portal se niche bataye gye step ko follow kar online janch kar sakte hain
- Aap iske official website par sabse pahle jaye.
- Uske baad home page se New List ke Link par click karen.
- Yaha par new Labharthi ka list dikhai dega.
- Aap is list me apne naam ki janch kar sakte hain, Aur use download karsakte hain.
Official Website | www.pmuy.gov.in |
PMUY New BPL List Link | Check Here |
Leave a Comment