MP Sarkari Yojna

MP Kisan Anudan Yojana Apply Online 2020 | मध्य प्रदेश कृषि उपकरण सब्सिडी योजना

MP Kisan Anudan Yojna 2020 Apply Online:- Madhya Pradesh Sarkar ne Krishi Anudan Subsidy Yojna ki suruaat apne Rajya ke Kisano ko Labh pahuchane ke liye kiya hai. Jiske antargat Rajya ke Kisano ko MP Government dwara unhe apni Kheti karne ke liye Krishi Upkaran par Anudan Subsidy ke roop me Rashi pradan ki jayegi, Jisse Kisan ko naye Technical Equipment uplabdh karbaya jayega.

Jaisa aapko pata hai ki Bharat ek Krishi Pradhan Desh hai jaha ki Arthvayavastha mukhya roop se Krishi par aadharit hai. Isi ko dhyan me rakhte huye MP Government ne apne Rajya ke Kisano ko Income me Vridhi karne ke liye Madhya Pradesh Kisan Krishi Anudan Subsidy Yojna 2020 ki shuruaat ki hai.

Is Yojna me MP ke Kisan Subsidy prapt karke Kheti karne ke liye achhe Krishi Upkaran ko aasani se khrid sakte payenge. To Aaiye aaj ke is article me aap sabhi ke liye MP Agricultural Equipment Subsidy Scheme se sambandhit sabhi jankari jaise Application Process, Eligibility, Document Ityadi pradan karne ja rahe hain.

Contents

MP Agricultural Equipment Subsidy Scheme 2020

Pradesh Sarkar MP Kisan Krishi Upkaran Subsidy Yojna ke tahat MP ke sabhi Eligibile Kisano ko Krishi Upkaran ki Khrid par 30 se lekar 50% tak Anudan Rashi pradan karegi. Jabki is Yojna me Kisano ko 40,000 se lekar 60,000 Rupaye tak ki Subsidy bhi diya jayega, jo Rajya ke Kisano ke liye ek Gift ke roop me sabit ho sakta hai.

To MP ke jo bhi Labharthi Kisan is Krishi Upkaran Subsidy Yojna 2020 ka Labh prapt karna chahte hain unhe iske official website dbt.mpdage.org/index.htm itna par jakar online aavedan karna hoga. Lekin aapko jyada problem na ho iske liye hamne is page me direct link uplabdh karbaya hai, Jise aap kafi aasani se online aavedan kar sakte hain. Aur ha is Yojna me Krishi Yantr ke hisab se aarthik Madad diya jayega, Yadi Koi Mahila Kisan hai to unhe Additional Benefits ka Pravdhan kiya gya hai.

MP E-Agricultural Equipment Subsidy Scheme – Overview

Name of SchemeMP Kisan Anudan Yojna 2020
Started byMP Chief Minister Shivraj Singh Chouhan
BeneficiaryState Farmers
ObjectiveKisano ko Krishi Upkaran ke liye Rashi Pradan Karna
DepartmentFarmers Welfare and Agricultural Development and Horticulture and Food Processing Department
Application ProcessOnline
Official Websitehttps://dbt.mpdage.org/index.htm

MP Kisan Anudan Yojna New Update:-

MP Government ne Rajya ke Kisano ko NFSM Yojna ke tahat Pipeline, Sprinkler Set Pump Set, Rengan Subsidy par dene ke liye aavedan form aamantrit kar rahi hai. Kisan apne Category ke anusar is Yojna ke tahat di jane bali Andudan Subsidy Calculator par dekh sakte hain. Is Yojna ke tahat Online Aavedan 17 June 2020 se 28 June 2020 tak official portal par uplabdh kiya jayega. Iske kuchh din baad Labharthi List official website par jaari kiya jayega. Rajya ke jo bhi Kisan is Yojna ke tahat Irrigation Equipment par Subsidy prapt karna chahte hain ve niche diye gye link ke jariye aavedan kar sakte hain.

MP Agricultural Equipment Scheme

  • Laser land leveler
  • Rotavator, power tiller
  • Raised bed planter
  • Tractor (more than 20 horsepower)
  • Tractor propelled reaper cum binder
  • Automatic reaper
  • Tractor mounted / operated suppressor
  • Multi Crop Thresher / Axial Flow Paddy Thresher
  • Paadi transplanter
  • Seed drill
  • Reaper cum binder
  • Happy seeder
  • Zero Till Seed Cum Fertilizer Drill
  • Seed less fertilizer drill
  • Rest bed planter with inclined plate plant and shaper
  • Power harrow
  • Power Weeder (more than 2 bhp running inz)
  • Multicrop plants
  • Tractors (up to 20 horsepower) smaller
  • Mulcher

कृषि उपकरण योजना सब्सिडी सिचाई यंत्र

  • Electric Pump Set
  • Diesel Pump Set
  • Pipeline Set
  • Drip System
  • Sprinkler Set
  • Rain Gun System

Benefit of MP Kisan Anudan Yojna 2020

  • Is Yojna ka Labh Sirf MP ke Kisan utha payenge.
  • Kisan Krishi Anudan Yojna ke tahat Subsidy prapt karke MP ke Kisan Kheti karne ke liye acche Krishi Upkaran Khrid sakte hain.
  • Is Yojna me Sarkar dwara 30% se 50% tak Anudan Rashi pradan ki jayegi, Sath hi 40,000 se 60,000 Ruapye tak ki Subsidy bhi diya jayega.
  • Aur Krishi Yantr ke hisab se aarthik madad diya jayega,

Eligibility Criteria For MP Kisan Anudan Yojna

  • Kisi bhi Category ke Krishk Tractor ka Purchase kar sakte hain.
  • Sirf ve Krishk Eligible honge jo Pichhle 7 Saalo me Tractor or Power Tiller Purchase ka kisi bhi Deparment Yojna ke tahat Labh nahi prapt kiya ho.
  • Tractor or Pawer Tiller me kisi ek par hi Anudan ka Labh prapt kar sakte hain.
  • Aur jinke pass Khud ka Krishi Bhumi hogi Sirf bahi Kisan iske liye Eligible hain.
  • Agar Krishk Pichhle 7 Varsho me kisi Upkaran ka Labh liya hai to ve iske liye elgible nahi hai.
  • Electric Pump ke liye Krishak ke pass Electric Connection hona jaruri hai.
  • Sirf vahi Krishak Eligible hain jinhone Pichhle 5 Saalo me kisi bhi Yojna ke tahat iska Labh prapt nahi kiya ho.

Required Document

  • Aadhar Card
  • Bank Passbook
  • Caste Certificate Only For SC and ST Farmers)
  • Proof of Power Connection
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

How To Apply For MP Kisan Grant Scheme 2020?

MP ke ichhuk Kisan is Yojna ka Labh uthane ke liye niche bataye gye tarike ko follow karke iske official website par jakar aavedan kar sakte hain.

  • Niche diye gye link se iske Department ke Official Website par visit karen.
  • Home page se Agricultural Machinery Directorate of Engineering “Apply” bale option par click karen.
  • Click karne ke baad is prakar ka page open ho jayega.
mp anudan yojana
  • Ise niche tak Scroll karke puchhi gyi saari Details Jankari ko enter karen.
  • Iske baad aap Capture Finger ke button par click karen.
  • Saphaltapurvak Registration ke baad System Generate kiya jayega jisme Application No. Show hoga, Ise aap ek print out nikal len.

How To Check Application Status of Kisan Grant Scheme?

Important Link:-

Apply OnlineGo Here
Official Website Click Here 

Objective of MP Kisan Anudan Yojna 2020

Aapko pata hai ki abhi ke Samay me Krishi karne ke naye naye Upkaran ko launch kiya ja raha hai, Lekin in Upkarans ko Khridana Kisano ke liye utna Sambhav nahi hai. Isliye MP Government ne is Kisan Krishi Anudan Subsidy Yojna 2020 ko Launch kiya hai. Taki Rajya ke sabhi Kisan ise Khrid kar Fasal ki achha production kar Saken, Jisse Kisan ki Income me Growth ho aur Aatmnirbhar ban saken.

Leave a Comment