Sarkari Yojna

Migrant Workers Registration (State Wise) घर आने के लिए Online Form & Helpline Number

Pravasi Majdur Online Registration State Wise:- Hello Friends, Agar aap Coronavirus Lockdown Mahamari ke karan anya Rajay me Fas chuke hain, Aur ab apna Ggar Vapas aana chahte hain to aap Online Registration Form bhar sakte hain. Tab jakar aap kisi dusre state se apna ghar vapas aa sakte hain. Jiske liye aap sabhi ko is article me online Registration Form bharne ka puri jankari diya ja raha hai, Aur State Wise Link bhi provide karaya ja raha hai. Taki aap apna Registaration Form yahi se online bhar saken.

Jinte bhi Migrant workers, Tourists, Students ya kisi bhi anya vyakti Lockdown Mahamari ke chalte dusre Rajyo me Fase huye hain wo is page me diye gye State Wise Link ki madhyam se Ghar Vapas aane ke liye Online Registration karba sakte hain, Aur apna ghar vapas aa sakte hain.

Aapko MHA (Ministry of Home Affairs) ke dwara Disha nirdesho ke tahat sthanantrit karne ke liye anumati diya jayega tabhi aap dusre Rajyo se apne Rajya ke liye Train se yatra kar sakte hain. Jiske liye sabhi Rajya Sarkar ne apne Rajya ke logo ko Lockdown ke karna fase huye dusre Rajyo se lane ke liye online Registration Form jaari kar diya hai. Aur iske liye Helpline Number bhi jaari kiya hai jispar aap Call karke bhi jankari le sakte hain.

Contents

Migrant Worker Online Registration Form Notification

Ministry of Home Affairs ke dwara sabhi Pravasi Majduro ke liye jaari kiye gye official notification ko aap niche se dekh sakte hain. Aur aap apne Rajya vapas aane ke liye Registration bhi kar sakte hain.

To isse pahle aapko bata den ki Rajasthan, Odisha, Kerala, Uttarakhand, Gujarat, Punjab, Aur Jammu And Kashmir jaise Rajyo ne sabhi Pravasi Majduro ko apne Ghar Vapas aane ke liye online Registration Prakriya start kar diya hai. Lekin Uttar Pradesh, Bihar, Maharashtra, Jharkhand, Chhattisgarh jaise aur bhi kai Rajyo ne sabhi Pravasio ke liye online Registration to start nahi kiya hai, Lekin apna Helpline Number jaari kar diya hai jo aapko is page me niche mil jayega.

घर वापस आने के लिए प्रवासी श्रमिक पंजीकरण

Home Ministry ne 29 April 2020 ko hi Lockdown ke karan Sabhi Pravasi Majdur, Students And Tourists ya other wise kisi bhi vyakti ko dusre Rajyo se vapas lane ke liye Notice jaari kiya tha, Jise aap niche se padh sakte hain.

Aur aap sabhi ko yah bhi pata hoga ki Coronavirus Lockdown Mahamari ke badhte Sankrman ko dekhte huye 2 saptah ke liye aur lockdown badha diya gya hai. To aise me sabhi Pravasi Majduro ko is post ke madhyam se inform kiya ja raha jo other state me fase huye hain wo online Registration karbakar apna Ghar Vapas laut sakte hain.

Pravasi Majdur Online Registration Link (State Wise) & Helpline Number

Yaha par diye gye table me kuchh Rajyo ka link Available hai jispar click karke Pravasi Majdur apna Registration Form bhar sakte hain, Aur baki Rajyo ka Registration Link jaise hi jaari kiya jata hai to yaha par diye gye link ko update kar diya jayega.

Name of StateOfficial Link
Andhra PradeshUpdate Soon
BiharClick Here 
UtrakhandAvailable
Rajasthanhttp://emitra.rajasthan.gov.in
DelhiUpdate Soon
Chhattisgarhhttps://cglabour.nic.in/
Uttar Pradeshhttp://uplabour.gov.in/
ChandigarhAvailable
KeralaUpdate Soon
MaharashtraAvailable
OdishaAvailable
HaryanaAvailable
Himachal PradeshAvailable
West BengalAvailable
Jammu and KashmirWorkers – Register
Students – Register
Arunachal PradeshUpdate Soon
Madhya PradeshAvailable
AssamAvailable
ManipurAvailable
GujaratAvailable
PunjabAvailable
GoaAvailable
JharkhandAvailable
TamilnaduAvailable
KarnatakaAvailable
MizoramUpdate soon
TelanganaTamilnadu (TN) प्रवासी पंजीकरण लिंक> https://nonresidenttamil.org/

Required Document For Migrant Workers Registration

Registration karne ke liye Pravasi Majdur ko apna kuchh aavashyak document ka jarurat pad sakta hai jo niche batlaya gya hai.

  • Applicants name
  • Mobile Number
  • Aadhar Number
  • Aap jaha hai us State ka Naam
  • Aapko jaha jana hai us State ka Naam
  • Gender
  • Age
  • Number of Family Members

Migrant Workers Registration (State Wise) 

  • Rajya Sarkar ke dwara Pravasi Majduro ke liye Interstate Travel (अंतर्राज्यीय यात्रा) ke liye Bus Seva shuru kar di gyi hai, Jiske liye Registration Form bharne ke liye Helpline Number uplabdh karaya gya hai Aap upar diye gye table me dekh sakte hain.
  • Advisory me MHA ke dwara kaha gya hai ki sabhi Rajya aur Kendra Shasit Pradesh me apne Nodal Adhikariyo ko bhejna chahiye taki waha fase huye sabhi Pravasi Majdur ko apna Ghar bhej saken.
  • Aur Ministry of Home Affairs ne hal hi me dusre Rajyo me fase huye sabhi Pravasi majdur, Students jaise aur bhi vyakti ko lane ke liye Railway Service ko shuru kiya hai, Jiski sabhi details jankari is page me diya gya hai.
  • Aur anya Rajyo se aane bale sabhi Vyaktiyo ko Medical Janch kiya jayega, Jinme koyi sankrman nahi milega unhe aage badhne ki anumati nahi diya jayega.
  • Aur jo log apne Rajya Vapas Pahuch jate hain unhe Local health officials ke dwara ghar me ya Quarantine Center me 14 dino ke liye alag rakha jayega.

Official Website:- https://labour.gov.in/

FAQs

Q. Rajya Sarkar ke dwara Pravasi Majdur ko dusre rajyo se jane ke liye Registration kab se start kiya jayega.

Ans:- Sarkar ne Pravasi Majduro ko ghar Vapasi ke liye order de diya hai, Jabki kuchh Rajyo ke liye online Registration bhi shuru ho chuka hai.

Q. Registration Form ke liye official link kaha se milega.

Ans:- Is post me kuchh link uplabdh kar diya gya hai, Aur baki bahut jald update kiya jayega.

Q. Registration karte samay hame kun kaun se Document ki jarurat hogi.

Ans:- Iske liye aapko apna Aadhar Card, aur bhi Mahatvapurn Document ki aavashyakta hogi, Jo upar bataya gya hai.

1 Comment

Leave a Comment