Sarkari Yojna

MP के प्रवासी मजदुर अपने घर आने के लिए फॉर्म यहाँ से भरें | Online Registration

Madhya Pradesh Pravasi Majdur Online Registration Form:- Hello Guys, Jo bhi Madhya Pradesh (MP) ke Pravasi Majdur ek dusre Rajya me Lockdown Mahamri ke chalte fase huye hain aur wo apna gaha vapas aana chahte hain. To bata den ki Madhya Pradesh Government ne bhi iski ghosna kar diya hai ki apne Rajya ke sabhi Pravasi Majdur jo Lockdown ke karan anya Rajya me hain unko apna ghar vapas laya ja saken.

Isliye aap sabhi ko is post ke madhyam se suchit kiya ja raha hai ki aap bhi agar Madhya Pradesh ka ek Nivasi hain aur kisi dusre Rajya me Lockdown Mahamari ke karan fas chuke hain to ab aap apna ghar vapas aa sakte hain. Kyonki MP Government ne Rajya ke sabhi Pravasi Majduro ko vapas lane ke liye Special Train Chalu karbane ja raha hai. Jiske liye aap Online Registration karbakar apne Rajya me vapas aa sakte hain. Jiske bare me sabhi jankari aapko is article me mil jayega, Ki aap kis tarah se iska Form online bhar payegen, ya iske liye kya kya karna hoga. Matlab saari information is page me share kiya ja raha hai, Aur iska official link bhi provide karaya ja raha hai.

Contents

Madhya Pradesh Pravasi Majdur Online Registration Form 2020

Ab aap sabhi ko bata den ki Madhya Pradesh ke Chief Minister (Shivraj Singh Chauhan) ne khud kaha hai ki jitne bhi Pravasi Majdur Coronavirus Lockdown Mahamari ko lekar alag alag Rajyo me fase huye hain, Aur ve ab apna ghar lautna chahte hain to unhe Sarkar ki taraf se puri madad kiya jayega. Jiske liye sabse pahle MP Sarkar ke dwara jaari kiye gye website se Registration Form online bharna hoga.

Aur iske liye Rajya sarkar ne Official website ke sath Toll Free Number bhi jaari kiya hai, Jisse sabhi Pravasi Majdur, Students, Tourist ya other wise kisi bhi vyakti Online Registration karbakar apna ghar vapas aa sakte hain. Registration Form online bharne ke liye hamne is page me kuchh aasan tarika bhi batlaya hai, Jise aap niche se follow kar sakte hain. Aur Rajya Sarkar ke dwara jaari kiye gye official notice ko niche se padh sakte hain.

Official Notification MP Government

MP Pravasi Majdur Yatra Registration Form

Aap sabhi ko abhi malum hoga ki pure Bharat me Lockdown chal raha hai, Lekin Bharat Sarkar ke dwara Lockdown 3.0 me fir se 2 Saptah ke liye aur badha diya gya hai. Iske chalte dusre Rajya me rah rahe sabhi Pravasi Majduro ko aur jyada prashani badh gya hai, Aur sabhi log apne ghar vapas lautne ke liye soch rahe hain. To sabhi Rajya sarkar ke dwara Pravasi Majduro ke unke ghar lane ke liye bahut pryash kiya ja raha hai.

Agar aap Madhya Pradesh ke rahne bale hain to aapko bata den ki MP Sarkar ne bhi apne sabhi Pravasi Majduro ko vapas lane ke liye online Registration Shuru kar diya hai, Aap iske official portal par jakar apna form online bhar sakte hain. Bata den ki is Yojna ke antargat MP Government ke dwara pratidin hajaro logo ko apne Rajya me vapas laya jayega.

Madhya Pradesh Pravasi Majdur घर वापसी रजिस्ट्रेशन – Overview

Article Madhya Pradesh Migrant Worker Registration
State Government Madya Pradesh Government
Name of Scheme MP Pravasi Majdur Online Registraion Form
Started by Chief Minister (Shivraj Singh Chauhan)
State Madhya Pradesh
Objective (उद्देश्य)अन्य राज्यों में फंसे मध्य प्रदेश के लोगों की वापसी
BeneficiaryPravasi Majdur, Students, Tourist And Other Person
Apply Mode Online
Official Website https://mapit.gov.in/

Migrant Resident Online Registration MP

MP Sarkar ne alag alag State me fase huye sabhi Pravasi Majdur, Students, Tourist jaise aur bhi vyakti ko Special Train aur Bus ke jariye unke ghar pahuchaya jayega. Jiske liye un sabhi ko Registration Form bharna jaruri hai, Tab jakar list me unka naam aayega, Aur ghar aane ke liye suchit kiya jayega.

Aap sabhi ko upar batlaya gya ki Madhya Pradesh Sarkar ne dusre Rajyo me fase huye sabhi Pravasi Majduro ke liye online Registration ke sath sath Toll Free Number bhi jaari kiya hai. Jis se aap apne phone se direct Call karke apni jankari de sakte hain, Ki aap abhi kis Rajya me fase huye hain taki vah aapko waha se lane me madad kar saken. Aap Rajya Sarkar ke dwara jaari kiye gye sabhi Contact Number niche se dekh sakte hain.

MP PRAVASI NAGRIK HELPLINE NUMBER

Document Required For MP Pravasi Majdur Registration

  • Aadhar Card Number
  • Mobile Number
  • Your Address
  • Aap Jis Rajya Me Rahte Hain, Waha ka Address
  • Aapko Kaha Jana Hai Us Rajya Ka Address
  • And Other Document

MP यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?

  • Migrant Worker (प्रवासी मजदूर)
  • Student (विद्यार्थी)
  • Tourist (पर्यटक)
  • Other Person (अन्य व्यक्ति)

How To Fill Registration Form Online For Coming To Madhya Pradesh?

Yadi aap MP ka ek Nivasi hain aur lockdown ke karan anya rajya me fse hauye hain to aap niche diye gye link aur bataye gye tarike ko follow karke apna Registraton Form bhar sakte hain, Aur apna ghar vapas aa sakte hain.

  • Aap diye gye official link se iske official website par visit karen.
  • Uske baad aap apna mobile number ko enter karen.
  • Ab apna yatra details ko select kare, Aur aap anya Rajya se Madhya Pradesh me aane ke liye aavedan karna chahte hain ya Madhya Pradesh se dusre rajyo me jana chahte hain.
  • Aur ab aap apne sath aane bale sabhi vyaktiyo ki jankari enter karen.
  • Aur iske baad iske sambandhit officials dwara aapse sampark kar liya jayega.

Official Link:-

Online Registration Form Click Here
Official Website Click Here
Official Notice 1ST | 2ND | 3RD Notice

To Aap Is Prakar Se Madhya Pradesh Yatra Ke Liye Online Registration Form Bhar Sakte Hain, Aur Form Bharne Ke Baad Aapse Direct Contact Kar Liye Jayenge Aur Sabhi Jankari De Di Jayegi. Agar Aapko Iske Baad Bhi Registration Karne Me Kuchh Problem Ho Raha Hai To Niche Diye Gye Comment Box Se Comment Kar Sakte Hain.

1 Comment

  • sir me Arvind kumar ahirwar lavkush nagar dist. chhatarpur mp ka rhne wala hu me delhi me fasa hu mujhe ghar se 2 din hi huye uske bad lockdown lag gya sir me bahut paresan hu mera contact no 8225077627 hai plz aap se request hai mujhe bapas mp ana chahtahu plz sir

Leave a Comment