Sarkari Yojna

HP Mukhyamantri Ek Bigha Scheme 2020 | Online Application Form

Himachal Pradesh Ek Bigha Yojna 2020:- Himachal Pradesh Mukhyamantri Jai Ram Thakur Ji ke dwara Central Government ki Mahatma Gandhi National Rural Employment Guarantee Yojna (MGNHGS) ke madhyam se HP Mukhyamantri Ek Bigha Yojna ki shuruaat kiya hai. Is Yojna ke antargat Himachal Pradesh Sarkar Gramin Mahilaon ko Strong yani ki Rojgar uplabdh karne ke liye 21 may 2020 ko Launch ki gyi hai.

Is Yojna me Himachal Pradeshke 1.5 Lakh se adhik Gramin Mahilaon ko apne aap par Aatmnirbhar banane aur MGNREGS ke tahat Rojgar pradan karai jayegi. Yadi aap janana chahte hai ki HP Mukhyamantri Ek Bihga Yojna 2020 kya hai, Iske liye aavedan kaise karne to post ko dhyanpurvak Last tak padhe. Yaha par aapko in sabhi jankari ke sath official link bhi mil jayegi, Jise follow karke apna aavedan form bhar payenge.

Contents

Himachal Pradesh Mukhyamantri Ek Bihgha Yojna 2020

Central Government ki Mahatma Gandhi National Rural Employment Guarantee Scheme ko ek karke Ek Bihga Yojna ke jariye Gramin Arthvayavastha ko Storong karne ka kaam kiya jayega. Aur is Yojna ke antargat Himachal Pradesh ke jin Mahilayen ke pass Ek Bigha Krishi Bhumi hai vah Vegetables and Fruits ki Utpadan ke liye Backyard Kitchen Garden taiyar karke apne Income me Gorwth kar sakti hai. .

Aapko bata den ki COVID-19 Mahamari Sankrman ke samay Himachal Pradesh ke jo bhi Gramin Area ke Mahilayen ek Garib Parivar se belong karti hain unhe Rajya Sarkar dwara khud ka Rojgar uplabdh karne ke liye Protshahit kiya jayega. Jabki iske sath hi Rajya ke jo Job Card Dharak Mahiala hain wo bhi 1 Lakh Rupaye tak ki Financial Help prapt kar sakti hai.

Overview of HP CM 1 Bigha Yojna 2020

Name of Scheme HP Mukhyamantri Ek Bigha Scheme 2020
Started by By Chief Minister Jairam Thakur
Launched Dates 21 May 2020
Beneficiary Gramin Area Ki Mahilayen
Application Process Online & Offline
Objective Rajya Ke Mahilayon Ko Atmnirbhar Banana
Category Himachal Pradesh Government Schemes
Official Website ?

Objective of HP Mukhyamantri Ek Bigha Yojna

Aap sabhi ko pata hai ki Desh me Coronavirus Sankarman ke karan Kendra Sarkar dwara Atmnirbhar Bharat Abhiyan ki shuruaat ki gyi hai, Jiske tahat Desh ke har State ke Gramin Area ke Nagriko ko Atmnirbhar banane ke liye Protsahit kiya ja raha hai. Isi ko dekhte huye HP Government ne is Ek Bigha Yojna ki shuruaat ki hai, Jisse waha ke Gramin Area ke Mahilaon ko jinke pass 1 Bigha Jamin hai unhe Vegetables and Fruits ki Kheti karke unke Income ko aur badhane ke Udeshya se shuru ki gyi hai. Lekin un sabhi Mahila jinke pass Job Card hai wo bhi is Yojna ka Labh prapt kar sakti hai.

Benefits of Mukhyamantri Ek Bigha Yojna

  • Is Yojna me Himachal Pradesh Sarkar Rajya ke Gramin Area ke Mahilaon ko apna Rojgar ka avsar pradan kar rahi hai.
  • HP Government dwara Ek Bigha Yojna me lagbhag 1.5 Lakh se adhik Mahilaon ko Shamil ki jayegi.
  • Aur partyek Mahila ko is Yojna me MGNREGA Scheme ke tahat 1 Lakh rupaye ka Annual Cash milne ki umid lagaya gya hai.
  • Jabki is Yojna ke antargat Mahilaon ko Rs. 198 Rupaye Prati Din Majduri pradan ki jayegi.
  • Sabhi Mahilaon ka Payment 15 Din Yani ki 2 Week ke baad unke Bank Account me Transfer kiya jayega.
  • Iske alave Pahadi Level, Bhumi Pani ko Channelize karne, Ek Vermi-Compost Pit Installed karne ke sath Plants and Seeds Khridane ke liye anudan pradan kiya jayega.
  • Is Yojna ko Mukhya roop se MGNREGA Scheme ke jariye shuruaat ki gyi hai.

How To Apply in HP Chief Minister Ek Bigha Scheme?

Himachal Pradesh ke Gramin Area ke jo bhi Mahila is Yojna ke antargat Rojgar prapt karna chahti hai to is Yojna ka Labh lene ke liye sabse pahle Application Form bharna hoga. Lekin iske liye aapko abhi kuchh din aur wait karna hoga. Jaisa aapko upar batlaya gya ki HP Mukhyamantri Ek Bigha Yojna ko hal me 21 May 2020 ko Launch kiya gya hai, Jiske liye abhi tak koi Official Website aur Application Process ke liye Nirdesh nahi di gyi hai. But bahut jald Rajya Sarkar ne is Yojna ke tahat aavedan prakriya shuru karne ja rahi hai.

Isliye aap is page par continue visit kar sakte hain, Kyonki jaise hi iske liye Application Form Online jaari ki jati hai to ham yaha par sabse pahle update karenge. To aap aavedan form bharne ke liye is Website par lagatar bane rah sakte hain.

Leave a Comment