Sarkari Yojna

PM Free Silai Machine Yojna 2022 – फ्री सिलाई मशीन योजना Online Application Form

PM Free Sewing Machine Yojna 2022:- Desh ke Pradhan Mantri Shree Narendra Modi Ji ne hamare Desh ke Mahilaon ke liye ek bahut hi achchhi Yojna ki shuruaat ki hai, Jiska Naam Pradhan Mantri Free Silai Machine Yojna hai. Is Yojna ke antaragt sabhi Rajya ke Mahilaon ko Silai Machine Free me uplabdh karaya jayega, Jiske liye Mahila ko sabse pahle Online Aavedan karna hoga. Aise Desh ke Partyek State me jo bhi Mahila ek Garib Parivar se bilong karti hai, Aur vah khud ka Rojgar karna chahti hai to vah Sarkar dwara diye ja rahe Free Silai Machine Yojna 2020 ka Labh utha sakti hai.

Bata den ki PM Free Silai Machine Yojna ke tahat Desh ke Shahri aur Gramin Area ke sabhi Shramik Mahilaon ko Sarkar ki taraf se Labh pradan pahuchaya jayega, Jiski Madad se wo apne Ghar baithe Rojgar shuru kar sakti hai, Aur achchhi Income kar sakti hai. Agar aap bhi Silai Machine chalana jante hain ya phir Sikh rahe hain to aapke liye ek achchha mauka hai ki aap is Yojna ka Labh uthane ke liye Online Aavedan kar sakte hain.

Contents

Pradhan Mantri Free Silai Machine 2022

Aap sabhi ko batate chale ki PM Free Silai Machine Yojna ka Labh Desh ke sabhi Shahri aur Gramin Area ke Shramik Garib ya aarthik roop se kamjor Parivar ki Mahilaon ko di jayegi. Is Yojna me Central Government dwara Desh ke Partyek States me 50,000 se adhik Garib Parivar ke Mahilaon ko Free me Silai Machine pradan karaya jayega.

Taki vah iska Labh prapt karke apni aur apne Parivar ka Jivan Yapan achchhe se kar saken. To jo bhi States ki 20 se 40 Varsh ki Mahila Free Sewing Machine Yojna 2020 ka Labh uthane ke liye ichhuk hain ve iske liye online aavedan kar sakti hai. Jiske liye hamne is page me iske official portal ka direct link bhi uplabdh karaya hai, Taki aap isse sambandhit sabhi jankari prapt karke aasani purvak aavedan kar saken.

Important Point of PM Free Sewing Machine Yojna

Name of Scheme PM Free Silai Machine Scheme 2020
Started by Kendra Sarkar
Beneficiary Shahari & Gramin Area ki Mahilayen
Objective Silai Machine Uplabdh karbakar Rojgar Pradan Karna
Category Centeral Government Schemes
Application Process Offline
Official Website https://www.india.gov.in/

Objective of Free Silai Machine Yojna 2022

Is Pradhan Mantri Free Silai Machine Yojna 2020 ka Mukhya Udeshya Desh ke Partyek Rajya me jo bhi Mahila Shramik ya Garib Parivar se hain to unhe Sarkar dwara Free Me Silai Machine Uplabdh karbakar khud ke Rojgar ka avsar pradan karna, Jiske madhyam se vah achchhi Income karke apni Jivan ko achchhe se chala saken. Itna hi nahi Free Silai Machine Yojna ke jariye Shramik Mahilaon ko Atmnirbhar aur Strong bhi bana hai, Jisse unki Sthiti me Sudhar aa saken.

Note:- Abhi Is Yojna Ki Shuruaat Kuchh Stats Jaise Gujarat, Maharashtra, Madhya Pradesh, Chhattisgarh, Bihar, Rajasthan, Haryana, Uttar Pradesh Karnataka Ityadi Shahro Me Shuru Kar Di Gyi Hai. Lekin Sarkar Bahut Jald Pure Desh Bhar Me Lagu Karne ki Paryash Kar Rahi Hai.

Benefit of PM Free Silai Machine Yojna

  • Free Sewing Machine Yojna ka Labh Desh ke Shramik Mahilaon ko pradan kiya jayega.
  • Mahila is Yojna ka Labh prapt karke apne Ghar baithe achchhi Income kar sakti hai.
  • Jo ki is Yojna me Shahri aur Gramin dono Area ki Kamjor Varg ki Mahila ko Shamil kiya jayega.
  • Is Yojna ke antargat Central Government dwara harek Rajya me 50,000 se adhik Mahilaon ko Labh pahuchaya jayega.
  • PM Free Machine Yojna ke madhyam se Garib Mahilaon ka Rojgar ka avsar pradan kiye jayenge.
  • Aur iske jariye Desh ke Mahilaon ko Rojgar ke liye Inspire karna aur Atmnirbhar banana hai.

Eligibility Criteria For PM Free Silai Machine Yojna

  • PM Free Silai Machine Yojna ke tahat Aavedan karne bale Mahilaon ki Age 20 se 40 Varsh ke bich hona aavashyak hai.
  • Aur Mahilaon ki Family Income 12,000 Rupaye se adhik nahi honi chahiye.
  • Is Yojna ka labh prapt karne ke liye Desh ke Sirf Kamjor Varg ki Mahila hi Eligible hogi.
  • Sath hi Vdhwa Aur Viklang Mahilayen bhi is Yojna ka Labh utha sakti hai.

Required Document

  • Aadhaar card
  • Age Certificate
  • Income Certificate
  • Mobile Number
  • Identity Card
  • Community Certificate
  • Viklang Medical Certificate
  • Vidhwa Rahne Par Vidhwa Certificate
  • Passport Size Photo

How To Apply For Free Sewing Machine Scheme 2022?

  • Is Scheme ka Labh prapt karne ke liye ichhuk Mahila India Government ke official website par visit kar sakte hain.
  • Iske official website par jane ke baad iske home page se Application Form Download par click karen.
  • Application Form download karke isme puchhi gyi saari Datails Jankari ko enter karen.
  • Sabhi jankari bharne ke baad apna Important Document ke sath apne Sambandhit Karyalaya me jakar jama kar den.
  • Application Form ko Karyalaya Officer dwara Verification kar diya jayega.
  • Phir aapko Free Silai Machine pradan karaya jayega.

Official Website:- Click Here

Aap is prakar se PM Free Silai Machine Scheme 2020 ke liye aavedan form bhar sakte hain. Aapka Application Form Accept hone ke baad Sarkar ki taraf se Silai Machine Provide karaya jayega. Yadi aap is Yojna se Sambandhit kisi prakar ki jankari prapt karna chahte hain to niche diye gye Comment Box ke jariye puchh sakte hain.

2 Comments

Leave a Comment