Delhi Pravasi Majdur Online Registration Form:- Hello Friends, Delhi Sarkar ke dwara un sabhi Pravasi Majdur, Students ko unke ghar vapas laya ja raha hai jo is Lockdown Mahamari ke chalte ek dusre Rajyo me fase huye hain. Bata den ki iski shuruaat Delhi ke Chief Minister (Arvind kejriwal) ji ne shuru kiya hai, Ki Delhi ke jo bhi Pravasi Sharamik Majdur jo alag alag Rajyo me Fase huye hain unhe unka ghar vapas laya ja saken.
To jo bhi Pravasi Majdur ya Students anya Rajyo se Lockdown me aana chahte hain ve Delhi Sarkar ke dwara jaari kiye gye official website par jakar online Registration Form bhar sakte hain. Aur Delhi Sarkar ne Pravasi Majduro ki sahayata ke liye (Toll-Free) Helpline Number bhi jaari kiya hai, Jispar Call karke Pravasi Majdur is Yojna ke bare me puri jankari parpt kar sakte hain.
Contents
Delhi Pravasi Online Registration Form
To aap sabhi ko Delhi Pravasi Yatra Online Registration Form ke bare me puri jankari provide karya gya hai. Yadi aap bhi ek Delhi ke Nagrik hain aur lockdown ki bajha se anya Rajyo me fase huye hain to is post ko last tak padhkar iske bare me sabhi jankari prapt kar sakte hain, Aur apne ghar vapas aane ke liye online aavedan form bhar sakte hai.
Aap sabhi jan hi rahe honge ki Kendra Sarkar ke dwara Lockdown 3.0 me 17 May tak aur badha diya gya hai. Jiske karan aur bahar fase huye Pravasi Majdur ab apne ghar vapas aane ke liye soch rahe hain, Lekin wo nahi aa pa rahe hain. Isliye Delhi Government ne Coronavirus Lockdown Mahamari ko dekhte huye Delhi ke Nivasi jo dusre Rajyo me fase huye hain unko lane ke liye Delhi Migrant Registration Online Form jaari kiya hai. Aap delhishelterboard.in/covid19/migrant-info.php, www.delhi.gov.in, epass.jansamvad.org is website par jakar apna Registration Form online bhar sakte hain.
Update:- Aap Sabhi Ko Malum Hona Chahiye Ki Grih Mantralaya Se Anumati Milne Ke Baad Lockdown Me Dusre Rajyo Me Fase Huye Pravasi Majdur, Students Ya Other Wise Kisi Bhi Vyakti Ko Unke Ghar Vapas Pahuchane Ke Liye Registration Form Ke Liye Online Portal Ka Link Jaari Kiya Gya Hai.
Labor Return Registration Form Scheme – Overview
High Authority | Delhi Government |
Name of Department | Labor Commissioner, Government of Delhi NCT |
Name of Scheme | Pravasi Yatra Registration Online Form |
Started by | Chief Minister (Arvind kejriwal) |
Objective | Anya Rajyo Me Fase Delhi ke Logo Ki Vapasi |
Beneficiary | Pravasi Majdur, Students And Other Person |
Mode of Registration | Online |
Article Category | Delhi Migrant Workers Registration |
Official Website | www.delhishelterboard.in |
Delhi Pravasi Yatra Registration COVID-19
Aapko bata den ki anya rajyo me fase huye logo ke liye Home Ministry ne ek Guideline jaari kiya hai, Is Guideline ke anusar Majdur Divas ke din se Pravasi Majduro, Tirth Ytriyo, Tourists and Students jo Lockdown Mhamari ke karan dusre Rajyo me fase hain unko apne gantavy sthan tak pahuchane ke liye Shramik Special Train chalane ka faisla kiya hai. In sabhi Shramik Special Train ke Smanvya aur Sucharu sanchalan ke liye Railway aur Rajya Sarkaro dwara Senior Adhikariyo ko Nodal Adhikari niyukt karegi. Aap chahe to is page me diye gye number se Nodal Adhikari se bhi baat kar sakte hain, Uske baad Registration Form bharkar apna ghar vapas aa sakte hain.
Aur Registration Form bharne ke baad aap sabhi ke liye ek List taiyar kiya jayega, Iske baad aap sabhi ko Call karke Train Time aur Bus ke bare me jankari diya jayega. To yadi aap bhi Delhi se hain aur anya Rajya me Lockdown ke karan hain to aap jitna jald ho sake online Registration kar sakte hain. Aur ha Pravasi Majdur ya kisi bhi vyakti ko ghar pahuchane par unhe 14 dino ke liye Quarantine Center me rakha jayega.
दिल्ली यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?
- Migrant Worker (प्रवासी मजदूर)
- Student (विद्यार्थी)
- Tourist (पर्यटक)
- other Professional (अन्य पेशेवर)
Required Documents
- Aadhar Card / Voter Card / Driving License
- Address Proof
- Home Address
- Address to live in other states
- Own mobile number
- Contact number of a family member from Delhi
How To Fill The Delhi Travel Registration Form 2020 Online?
Delhi Yatra Registration Form online bharne ke liye niche diye gye link aur yaha par bataye gye step by step tarike ko follow kar sakte hain.
- Aap diye gye link se iske official website par sabse pahle visit karen.
- Ab iske home page par प्रवासी श्रमिक पंजीकरण दिल्ली ke link par click karen.
- Click karne ke baad Registration Form open ho jayega.
- Is Form me puchhi gyi sabhi details ko sahi se bharen.
- Form bharne ke baad Next par click karen.
- Aur last me puchhi gyi sabhi details ko bharkar submit par click kar den.
- Aur apne Form ka ek print out jarur kar len.
Important Link:-
Apply Online Form | CLICK HERE |
Official Website | CLICK HERE |
Helpline No.(1):- +91-9555363032 (9:00 AM to 2:00 PM)
Helpline No.(2):- +91-9717999263 (2:00 PM to 6:00 PM)
FAQ’s
Q. Mai abhi dusre Rajya me hu aur hame Delhi vapas jana hai to hame kya karna chahiye.
Ans:- Iske liye aapko Delhi Sarkar ke dwara jaari kiye gye official website par jakar Registration karna hoga.
Q. Yadi mere pass apna bahan hai aur dusre Rajya se apna ghar jana chahta hun.
Ans:- Yadi aapke pass apna bahan hai to aapko Registration karte samay E-Pass ka ullekh karna hoga.
Q. Delhi Yatra Online Registration Form bharne ke liye Pravasi Majdur ka kaun kaun se document ki aavashyakta hai.
Ans:- To Pravasi Majdur ko Registration karne ke liye Aadhar Card, Delhi ka Residential Proof, Passport Size Photograph, Details of family members ki aavashyakta hogi. Aur Ghar pahuchan ke baad unhe 14 dino ke liye Quarantine Center me rakha jayega.
Leave a Comment