Sarkari Yojna

Bihar Viklang Pension Yojna 2022 – Online Form विकलांग पेंशन योजना

Bihar Viklang Pension Yojna 2020:- Chef Minister of Bihar ke dwara Bihar ke sabhi Divyang logo ko Bihar Viklang Pension Yojna ki pahal kiya gya hai, Jo ki yah Yojna kafi lambe samay se Viklang Logo ke liye chal raha hai. Lekin aaj aapko is article ke madhyam se Bihar Viklang Pension Yojna 2020 ke bare me jankari diya ja raha hai, Aap is post ko padhkar is Yojna ka fayda aasani se utha sakte hain.

Aap sabhi ko sabse pahle bata den ki Bihar Rajya me rah rahe sabhi Viklang logo ko Rajya Sarkar ke dwara unke aartik madad ke liye kuchh Rashi pradan ki jati hai. To yadi aap bhi unme se ke hain to aur is Yojna ka labh uthana chahte hain to iske official website par jakar iske liye online Application Form bhar sakte hain, Jiska official link is page me niche share kiya gya hai. .

Contents

Bihar Viklang Pension Yojna 2022 Online Form

Bihar Viklang Pension ka labh keval bahi log utha sakte hain jo Saririk Viklang ya 40% se adhik Viklang hai. To Jo bhi Candidate is Yojna ke liye Aavedan form bharna chahte hain to sabse pahle aapko apna Viklang Certificate ko banbana hoga. Kyonki is Yojna ke liye aapke Pass Viklang Certificate rahna aavashyak hai tabi aap iske liye Aavedan kar payegen.

Aur Bihar Viklang Pension Yojan 2020 ka prarambh Bihar Sarkar ke dwara Bihar ke sabhi Viklang Nagrik ko labh pahuchane ke liye kiya gya hai, Is Yojna ke antargat Rajya ke sabhi Viklang logo ko Bihar Sarkar ke dwara 500 Rupye ki Rashi par month aarthik sahayata ke roop me pradan kiya jayega. Viklang Pension Yojna 2020 ke tahat Sarkar ke taraf se diye jane bale Pension Dhanrashi ke jairye Rajya ke Viklang Viyakti apne Jivan ko achhe se yapan kar payegen.

Aise to 500 Rupye ki Rakam koi itni badi Rashi nahi hai, Lekin phir bhi Bihar Viklang Pension Yojan ka Main Udeshy hai ki Viklang logo ko apne aap par self dependent yani (आत्मनिर्भर) banana hai, Taki vah kisi par bojh na bana sake, Aur har logo ke samman ke sath rah sake.

Viklang Pension Scheme 2022 Overview

UPDATE:- Viklang Pension 2020 ke tahat Bihar Rajya ke sabhi Viklang logo ke Bank Account me Rajya sarkar ke taraf se unki aartik madad ke liye kuchh paise diye jayegen, Aap niche diye gye link se iske official site par jakar apna Application form online bhar sakte hain.

Name of SchemeBihar Viklang Pension Yojna
Launched byGovernment of Bihar
Department Name Social Security Bihar State Deparment
Beneficiary (लाभार्थी) Rajya ke Viklang Vyakti
Scheme Viklang Pension Yojna
Article Category Bihar Viklang Pension Yojna 2022
Official Website http://disabilityaffairs.gov.in/content/index.php

Eligibility Criteria

Aap Bihar Sarkar ke dwara diye gye Bihar Viklang Pension Yojna ke liye aavedan karne se pahle iske Eligibility Criteria ko is page me niche se check kar sakte hain.

  • Sabse pahle to aavedak ko ek Bihar Rajya ka sthai nivasi hona chahiye.
  • Is Yojna ke antargat sabhi Viklang logo ke Parivar ki Annual Income 48 hajar Rupye se adhik nahi honi chahiye.
  • Yadi Viklang Vyakti kisi dusre Pension ka labh utha rahe hain to wo iske liye aavedan nahi kar sakte hain.
  • Aur Viklang Vyaktiyo ke pass apni Viklang Certificate hona aavashyak hai.
  • Yadi unke pass Sarkari Naukri hai to ve Viklang Pension Yojna 2020 ka labh prapt nahi kar sakte hain.
  • Bihar Rajya Viklang Pension Scheme 2020 ke tahat labharthi ka Bank Account hona bhi anivarya hai.
  • Aur Bank Account unke Adhar Card se link hona chahiye, Kyonki Sarkar ke dwara di jane bali Rashi sidhe unke Bank Account me Transfer kiya jayega.

Documents required For Bihar Viklang Pension Scheme

Is Yojna ka Labh Uthane ke liye Viklang Vyakti ke pass kuchh aavashyak Document hona aavashyak hai.

  • Aadhar Card
  • Bank account passbook
  • Passport size photo
  • Income certificate
  • Disability certificate

How To Apply For Bihar Viklang Pension 2022?

Aap sabhi ko Bihar Viklang Pension 2020 ka Application Form bharne ke liye niche step by step method batalaya gya hai aap use follow karke apna Form aasani purvak online bhar satke hain.

  • Aap iske official site par diye gye lin k se visit karen.
  • Uske baad home page par Viklang Pension ke link par click karen.
  • Click karne ke baad ek naya page open ho jayega.
  • Jisme aapko puchhi gyi sabhi details ko bharna hoga.
  • Aur form bharne ke baad ise final submit par click kar den.
  • Aap is prakar se Bihar Viklang Pension ke online Application form bhar sakte hain.
OFFICIAL WEBSITE CLICK HERE

Leave a Comment