Bihar Ration Card List Online | राशन कार्ड सूची बिहार ऑनलाइन चेक | Bihar APL/ BPL Ration Card List | New Ration Card List Check !!
Jivka Ration Card List 2020:- Bihar Government ke dwara sabhi Poor Class Families ke liye Food Department ki official website ko shuru kiya gya hai, Rajya ke jo bhi log Bihar Ration Card List 2020 me apna naam check karna chahte hain. Wo is online portal ke madhyam se Ration Card List me aasani se apna aur apne Family ka naam dekh sakte hain. Jikse liye aapko kahi jane ki jarurat nahi hai, Aap apne ghar baithe apne Mobile or Computer ke madhyam se bhi online janch kar sakte hain. Kyonki aap sabhi ko is article me Bihar Ration Card List 2020 official website se online check karne ke liye pure vistar se bataya ja raha hai, Sath hi official link bhi provide karaya gya hai.
Contents
Bihar Ration Card New List 2020
Us se pahle aap sabhi ko bata den ki Government of Bihar ke dwara Bihar Ration Card ki New List District wise online jaari kiya gya hai, Sath hi Candidates aavedan form ki Status bhi online janch kar sakte hain. Aur Bihar Sarkar ne COVID-19 Lockdown Mahamari ke karan Garib Parivar ko unke aarthik sahayata ke liye unke Bank Account me Rs. 1000 Rupaye ki Rashi online pradan ka nirnay liya hai. To jo bhi naye candidates Ration Card ke liye online aavedan kar chuke hain ve official site www.dpd.bihar.gov.in or sfc.bihar.gov.in se Ration Card List 2020 download kar sakte hain.
COVID-19 Relief Update:- Government of Bihar ne 18.40 Lakh Ration Card Dharko ke Bank Account me Rs. 1000 Rupaye Corona sahayata ke liye pradan karegi. Sath hi COVID-19 Lockdown ke karan bhi Bihar me prabhavit Ration Card Dharko ko Rs. 1000 Rupaye ki Rashi aarthik sahayata pradan karne ke liye prabdhaan kiya hai.
नया राशन कार्ड लिस्ट बिहार 2020
Food and Consumer Protection Department, Bihar Sarkar ne naye Ration Card bale logo ko online Registration prakriya pura kar liya hai, Aur Ration Card Department dwara official website par List jaari kar diya gya hai. Aavedan karne bale sabhi Candidates official site se District Wise List ki online janch kar sakte hain.
Aise to Bihar Ration Card New List partyek varsh aay ke adhar par jaari kiya jata hai, Jo Candidates ko Ration Card ek identity card ke jaise kaam karta hai. To aapko is page me ise online kaise check karna hai saari jankari di gyi hai.
Bihar Ration Card की जानकारी:-
Ham aap sabhi ko bata den ki Ration Card ek official document hota hai, Jo State ke Rajya Sarkar dwara jaari kiya jata hai. Is se Public Distribution System se kam price par Food Grains and aavashyak vastuen ko aap khrid sakte hain. Likin sirf Ration Card Dharak hi PDS Supplies se kisi bhi saman khird sakte hain.
Yah Bihar Rajya me BSFC (Bihar State Food & Civil Supplies Corporation) dwara kiya jata hai. Jo ki is Ration Card ko 4 bhago me vargikrit kiya gya hai, Aapko iske bare me niche bataya ja raha hai.
Bihar Ration Card List 2020 Details
Higher Authority | Government of Bihar |
Name of Department | Food and Consumer Protection Department |
Article Category | New Ration Card List 2020 |
Distribution of Ration Card | District Wise |
Mode of Check Ration Card List | Online Mode |
Official Website | www.epds.bihar.gov.in |

epds.bihar.gov.in Ration Card List 2020 PDF Download
To jaisa aap sabhi ko upar batlaya gya ki Ration Card ek Sarkari Document hai jo Bihar Rajya ki Sarkar ke dwara Bihar me rahne bale nagriko ko diya jata hai. Sarkar ke dwara diye jane bali Ration Wheat, Rice and Kerosin jaise aur bhi anya Food Grains ko lene ke liye nagrik Ration Card ka upyog karte hain. Aur sirf Ration Card Dharak hi is Yojna ka labh prapt kar sakte hain. Jiska prakar aap sabhi ko niche bataya ja raha hai.
Types of Ration Card – APL, BPL, AAY & Annapurna Card
Ration Card purn roop se 4 prakar ke hote hain, Jise aap niche se dekh sakte hain.
- APL Ration Card:- APL Ration Card garibi rekha se upar bale family ke liye hai, Bihar ke koyi bhi vyakti is Ration Card ke liye aavedan kar sakte hain. Jinka annual income Rs. 24000 /- Rupaye se adhik hai. Jabki is Ration Card ke liye koyi aay nirdharit nahi ki gyi hai, Aur APL Ration Card ka Rang Blue hota hai,
- BPL Ration Card:- BPL Ration Card garibi rekha se niche aane bale parivaro ke liye jaari kiya gya hai, Aur unka annual income Rs. 24000 /- Rupye se kam hai., Is Card ka Rang Red hota hai.
- AAY Ration Card:- AAY Ration Card bahut hi jyada garib parivaro ke liye jaari kiya gya hai, Jo aarthik roop se kamjor hain. Iska bhi koyi aay nischit nahi hai ya aay hi nahi hai, Vah is Ration Card ke liye aavedan kar sakte hain. AAY Ration Card ka Rang Yellow hota hai.
- Annapurna Ration Card:- Aur yah Ration Card Rajya Sarkar ne Bihar Rajya ke dwara Virdha pensioners ke liye jaari kiye gye hain.
Bihar Ration Card के नए लिस्ट को कैसे चेक करें?
Bihar Ration Card New List 2020 Online check karne ke liye aap sabhi ko niche step by step tarika bataya ja rha hai, Aap ise follow karke kafi aasani se iske official site ke dwara apna Ration Card List 2020 ko check kar sakte hain.
- Sabse pahle aapko Bihar Rajya Food and Civil Supplies Corporation Limited ki official site par visit karna hoga.
- Itna www.epds.bihar.gov.in par.
- Ab iske home page se RCMS ka link milega, Aap us link par click karen.
- Yaha par aapke Rajya ki sabhi District ki list milegi, Jisme aapko apna District select karna hai.
- Iske baad aapko Sahar ya Gramin Area ko select karna hoga.
- Ab aapko apne najdiki Fair Price Shop (FPS) ke antargat sabhi Labharthi ke Ration Card ki List dikhai dega, Yaha aapko apne naam par jakar click karna hoga.
- Aapko ab apne Ration Card Number par click karne ki sampurn Ration Card ka sabhi Details dekhai dega jise aap online download kar sakte hain.
Important Links
New Ration Card Status | Check Here |
Official Website | www.epds.bihar.gov.in |
Documents Required For New Ration Card
- Aadhar Card
- A Passport-size photograph
- Bank account passbook
- Income certificate
- LPG Connection Number
- mobile number
- Passport size photo
FAQs
Q. Bihar Ration Card aavedan form 2020 ke liye aavashyak document kya hai.
Ans:- Bihar New Ration Card ka aavedan karne ke liye Mahatvapurn Document aapko upar bataya gya hai, Aap dekh sakte hain.
Q. Mai Bihar Ration Card Status 2020 ki janch kaha se kar sakte hain.
Ans:-Candidates iske official portal www.sfc.bihar.gov.in par Bihar New Ration Card Status ki janch kar sakte hain.
Q. Kya mai Bihar New Ration Card List name wise janch kar sakta hu.
Ans:- Ha, Labharthi Bihar New Ration Card List Name Wise janch official site se kar sakte hain.
Aap sabhi ko Bihar Ration Card List 2020 and Status online check karne ke liye puri jankari diya gya hai, Aapko itni jankari ke baad bhi New Ration Card List online check karne me prashani ho raha hai. To aap niche diye gye comment box se puchh sakte hain.
Leave a Comment