Bihar Pravasi Majdur Ghar Vapasi Ke Liye Online Registration:- Hello Guys, Agar aap Bihar Rajya ka ek Nagrik hain aur Lockdown Mahamari ke karan dusre Rajya me fase huye hain. Aur aap apna Gar lautna chahte hain to is post ke madhyam se aap sabhi ko bata den ki Bihar Government ke dwara Special Train chalaya jayega, Jiske dwara Rajya ke sabhi Students aur Majdur ko vapas ghar laya jayega.
Isliye aap sabhi ko is article me puri jankari, jaise ki aap iske liye Registration kab aur kaha se kar sakte hain, Ya fir iske liye kya kya karna hoga. Jiske bare me sabhi details jankari yaha par pradan karaya ja raha hai.
Aise bhi bahut saare logo ko pata bhi nahi hai ki wo apne Ghar Vapasi ke liye jane bali Train me kaise andar baith payenge, Aur unhe kya kya waha par karna hai, Iske liye is page me saari information provide karaya ja raha hai.
Contents
बिहार आने के लिए रजिस्ट्रेशन कैसे करें.
To yaha par aapko bata den ki iske liye sarkar ke dwara Kuchh Naye Nodal Adhikari Tainat Kiye Gye Hain, Jo Bihar Rajya ke Logo ko dusre Rajyo se lane me madad kar sakte hain. To yadi aap bhi Bihar Rajya se bahar fase huye hain to inhe Call karke Registration karba sakte hain.

Home Minister ke dwara sabhi Rajya se Logo ko vapas lane ke liye puri taiyari kar liya gya hai, Jo ki ab iski shuruat bhi ho chuka hai. Kyonki Bihar ke sabhi Students aur Majdur ko dusre Rajya se lane ke liye Grih Mantralay Amit Shah ne khud iska Aadesh jaari kiya hai, Jisme logo ko vapas lane ki anumati mil gyi hai.
Mobile Number of Nodal Officer For Bihar Return Registration (बिहार वापसी रजिस्ट्रेशन के लिए नोडल अधिकारी के मोबाइल नंबर)
Agar aap bhi Bihar se hain aur Lockdown Mahamari ke karan dusre Rajya me fase huye hain to aap jo bhi Rajya me abhi hain, Us Rajya ke Nodal Adhikari ke Mobile Number par Call Karke apna Registration karba sakte hain. Aapko is page me Nodal Officer ke sabhi Number diye gye hain. Aur ha aap sirf apne State bale Adhikari ke pass hi Call karke Registration karba sakte hain.

Lekin Aap Sabhi Ko Ek Baat Clear Kar Den Ki Iske Liye Online Registration Nahi Karbaya Ja Raha Hai, Aap Sirf Upar Ke Number Se Call Karke Registration Karba Sakte Hain.
बिहार वापसी के बाद 14 दिनों तक क्वॉरेंटाइन में रहना है
Aap is tarah se dusre Rajyo se Registration karbakar Bihar Vapas aa sakte hain, Aur aate hi aapko 14 Dino ke liye apne Friends ya Family se alag rahna hoga, Taki kisi bhi tarah ke problem rahne par aap dusre ko sankrmit na faila saken.
Isliye bahar se aaye huye Pravasi Majduro ko Ganb me aane se pahle unhe 14 days ke liye Quarantine kiya jayega jiske liye sabhi vyastha Rajya Sarkar ke dwara ki ja rahi hai. Aur aap sabhi ko bata den ki Train me safar karne se pahle sabhi Pravasi Majduro ki Screening ki jayegi, Jiska intejam Station par hi kiya jayega.
Aur Train se aane bale sabhi vyakti ke liye Bhojan ya Ticket kharidne ki koi jarurat nahi hai, Ye sab kuchh Sarkar ke dwara free me diya jayega, Iske sath hi aapko Train me Social Distance and Mask aapke liye bahut aavashyak hai. Is Corona Virus Mahamari ke samay me sabhi Pravasi Majdur aur Students ke liye special Train chalakar Kendra Sarkar ne bahut badi rahat di hai, Aur sabhi Pravashi Majduro ke liye bahut hi achhi khabar hai.
लिस्ट में नाम होगा तभी कर पाएंगे यात्रा
Ab baat rah jati hai ki yadi aap dusre Rajya se Bihar Vapas aana chahte hain to sabse pahle aapko Registration karbana hoga aur Registration List me naam rahne par hi Train se yatra kar payenge. Yani ki sabhi Pravasi Majduro ke liye chalne bali Special Train me safar karne bale logo ki List taiyar kiya jayega aur isi ke anusar isme log safar kar payenge.
Nodal Officer Helpline Number
Aise to sabhi Adhikarik Number ki List upar me diya gya hai, Aur yaha par aapko iske dwara jaari kiye gye Official News dikhaya gya hai jo aap sabhi ke liye sahayata karega.

Yah Number sidhe Control Room ka Number hai jaha par aapki samashya ka Nivaran kiya jayega, To kisi bhi samashya ke liye aap diye gye number par call kar sakte hain.
Is page me aap sabhi ko Bihar Vapasi Registration ke liye puri jankari provide karaya gya hai, Aap is page ko follow kar jan hi gye honge ki kisi bhi dusre Rajya se Bihar Vapas aane ke liye Registration kaise karna hai. Iske baad bhi aapko kisi bhi tarah ki problem ho raha hai to niche diye gye comment box se puchh sakte hain.
Leave a Comment