BSEB

Bihar Board Matric Scrutiny 2020 Online Form – BSEB 10th Result Challenge

BSEB Matric Result Challenge 2020:- Hello Guys, Jaisa ki aap sabhi ko pata hai ki Bihar School Examination Board ne Bihar Board Class 10th Result 2020 26 May ko Board ke official website par jaari kar di gyi hai. To Exam me shamil hone bale Students apna Result Check karne ke babjud apne Result se Santusht nahi ho paye hain. Iske liye Bihar Board ke Adhyakash Shree Anand Kisor ne un sabhi Students ko Result ke liye ek aur mauka prdan kiya hai.

Yadi aap bhi is baar Bihar Board se Class 10th yani Matric ka Exam diye hain aur Result check karne ke baad apne Result se Santusht nahi hain to aap BSEB Class 10th 2020 Scrutiny ke liye aavedan form Bihar Board ke official website se bhar sakte hain. Bata den ki 10th Board Result 2020 Scrutiny ke liye Aavedan Form 29 May 2020 yani aaj se online shuru ho chuka hai, Jiske liye sabhi mahatvapurn jankari is page me provide karya ja raha hai.

Contents

Bihar Board Class 10th Result 2020 Challenge / Scrutiny

Bihar Board Class 10th ke jo bhi Students apne Result se Satisfied nahi hain aur ve Challenge / Scrutiny ke liye aavedan karna cahte hain, To ab Bihar Board ke official website www.biharboardonline.Com par jakar online aavedan kar sakte hain. Jiske liye Students ko Per Subjects ke liye Aavedan Fees bhi jama karna hoga, Jo niche bataya gya hai.

Agar jo bhi Students ko aisa lagta hai ki Bihar Board Class 10th Result 2020 me hame kisi Subjects me Marks kam diye gye hain, To iske liye Board ke official site se Scrutiny ke liye Online Form bhar sakte hain. Aavedan Form jama lene ke baad Students ke Answer Sheet ko phir se janch ki jayegi, Agar janch karte samaya Answer Sheet me kahi Error rahta hai to use sudhar kiye jayenge, Aur aapka Marks badhaya jayega.

Bihar Board Matric Challenge / Scrutiny 2020

Bihar Board Matric Result 2020 ki Challenge / Scrutiny ke liye Online Aavedan Form shuru kar di gyi hai, Aap Bihar Board ke official website www.biharboareonline.com par jakar Form bhar sakte hain.

Aur Bihar Board Matric Scrutiny / RTI 2020 ka Registration Link ko http://onlinebseb.in/identity/home/studentregistration website Active kar di gyi hai. Jiske liye is post me niche BSEB Board Matric Scrutiny 2020 ke aavedna form bharne ke liye official link ke sath step by step tarika bhi batlaya gya hai, Jise follow karke aap kafi aasani se Bihar Board ke official site se aavedan kar sakte hain.

Important Date Bihar Board Matric Scrutiny 2020

Bihar Board 10th Scrutiny 2020 Important Date
Bihar Board 10th Online Scrutiny Form Start Date 29 May 2020
Last Date For Submission of Scrutiny Application15 June 2020
Application Fees Rs. 70 /- Per Subjects
Official Website biharboardonline.com

Scrutiny Form Fee

PROCESSAPPLICATION FEE (PER SUBJECT)
Scrutiny FeeRs. 70 /- Rupaye

How To Fill Bihar Board Scrutiny Form 2020 Online?

Students Bihar Board Matric 10th Result ke liye Scrutiny Form 2020 Bihar Board ke official website se online bharne ke liye niche bataye gye tarike ko follow kar sakte hain.

  • Bihar Board ke official website par sabse pahle visit karen.
  • Itna www.biharboard.online or onlinebseb.in.
  • Iske baad Maric Scrutiny 2020 ke liye Apply Link par click karen.
  • Click karne ke baad ek naya page open ho jayega.
  • Jisme apna Roll Number, Roll Code aur puchhi gyi sabhi Details ko enter karen.
  • Ab Scrutiny ke liye Subjects ko select karen.
  • Last me Fee Pay karke final Submit par click kar den.

Official Website : Click Here

About BSEB

The Bihar School Examination Board is established for holding and conducting an examination at the end of the Secondary School stage, for prescribing a course of studies for such examination and for carrying out such other objects and duties as may be considered necessary for the purpose as stated in the Act, Rules, and Regulations of the Board.

Leave a Comment