Berojgari Bhatta Bihar 2020 | Bihar Berojgari Bhatta 2020 | Berojgari Bhatta Bihar | Bihar Berojgari Bhatta Registration | बिहार बेरोजगारी भत्ता रजिस्ट्रेशन | Berojgari Bhatta Bihar Online Registration | Berojgari Bhatta Yojana | Yuva Nischay Yojana.
Contents
Bihar Berojgari Bhatta Online Registration Form
Bihar Berojgari Bhatta 2020 Online Registration Form:- Hello Guys, Jaisa ki ham sabhi jante hain ki Bihar Sarkar ke dwara logo ki help ke liye ek nayi Yojna nikali gyi hai, Jiske bare me aap sabhi ko is post ke madhaym se saari jankari pradan karaya ja raha hai. Aap is Post ko dhyan se padhkar iske liye online Registration Form bhar sakte hain.
Aap sabhi ko bata den ki Bihar Berojgari Bhatta 2020 Yojna Rajya ke sabhi Berojgar yuvaon ke liye shuru kiya gya hai. Is Yojna ke antargat Sarkar ke dwara Berojgar Yuvaon ko har month 1000 Rupye ki artihk sahayata ke roop me diye jayegen. To yadi aap bhi Bihar Berojgari Bhatta 2020 ka labh uthana chahte hain to iske liye Iske official website par jakar online Registration kar sakte hain.
Bihar Berojgari Bhatta Scheme 2020
Aur is Yojna ke tahat Berojgari Bhatta Pratp karne ke liye sabhi Berojgar Yuvaon ki Educational Qualification Class 10th ya 12th Inter Pass ke sath sath Graduation ki Degree jarur honi chahiye, Tabhi aap Bihar Berojgari Bhatta 2020 ka labh aasani se utha sakte hain. Kyonki yah Bihar Governments ne Bihar Berojgari Bhatta Yojna 2020 ke liye online aavedan form aamantrit kiya gya hai.
Name of Scheme | Bihar Unemployment Allowance |
Started by | Chief Minister of Nitish Kumar |
Beneficiary (लाभार्थी) | राज्य के बेरोजगार युवा |
Objective (उद्देश्य) | बेरोजगार युवाओ को बेरोजगारी भत्ता प्रदान करना |
Department | शिक्षा विभाग, विकास और श्रम संसाधन विभाग (Department of Education, Development and Labor Resources) |
Application Process | Online Mode |
Official Website | https://www.7nishchay-yuvaupmission.bihar.gov.in/ |
बिहार बेरोजगारी भत्ता 2020 अप्लाई ऑनलाइन – Bihar Unemployment Allowance 2020 Apply Online
To Bihar Rajya ke jo bhi ichhuk Berojgar Yuva is Yojna ke tahat Aavedan karna chahte hain to ve Education Department, Development and Labor Resources Department (शिक्षा विभाग, विकास और श्रम संसाधन विभाग) ke Official Website par jakar online application form bhar sakte hain.
Lekin aapko form bharne ke liye kahi jane ki jarurat nahi hai, Kyonki hamne is post me niche aap sabhi ke liye iske official website ka direct link provide karaya hai taki aap apne ghar baithe iske liye online aavedan kar sakte hain. Aur Bihar Sarkar ke dwara shuru ki gyi Bihar Berojgari Bhatta 2020 ka Labh utha sakte hain.
Bata den ki Bihar Berojgari Bhatta 2020 ke tahat Rajya Sarkar dwara diye jane bale par month 1000 Rupye ki Rashi sidhe labharti ke Bank Account me sthanantrit kar diya jayega, Iske liye aavedak ka Bank Account hona bahut hi mahatvapurn hai.
बिहार बेरोजगारी भत्ता योजना – Bihar Berojgari Bhatta Apply Online
- Is Yojna ke shuru hone se Berojgar Yuvaon ko kafi labh hone bala hai.
- Aur Sarkar ke dwara Bihar ke sabhi Berojgar Yuvaon ko prati month 1000 Rupye ki artik sahayata pradan kiya jayega.
- Is Yojna ka mukya udeshy Berojgari ke karan Yuvaon me badh rahe mansik tanab ko kam karne ke liye Bihar Sarkar ke dwara yah kadam uthaya gya hai.
Eligibility Criteria
- Sabse pahle to Labh uthane bala byakti Bihar Rajya ka permanent nagrik hona chahiye.
- Aur sirf Berojgar Yuvak hi is Yojna ka labh utha sakte hain.
- Is Yojna ke tahat aavedan karne bale sabhi Applicant ki Age limit 21 se 35 varsh ki bich honi chahiye.
- Aavedak ke paribar ki Annual Income 3 Lakh se adhik nahi honi chahiye.
- Bihar Berojgari Bhatta 2020 ka labh uthane ke liye 12th Pass aur koyi Graduation ya Post Graduation ki Degree honi chahiye.
- Jabki Bihar Berojgari Bhatta Scheme 2020 ke antargat uske pass koyi bhi Sarkari Naukri nahi hona chahiye.
- Aavedak ka Bank Account hona anivarya hai, Aur Bank Account Adhar Card se link hona chahiye.
Documents Required
- Applicant’s Aadhar Card
- Residence Certificate
- Income Certificate
- Age Certificate
- Proof of Educational Qualification (12th Pass Marksheet or Graduation or Post Graduate Degree)
- Bona Fide of Bihar
- Mobile Number
- Passport Size Photo
How To Apply For Bihar Unemployment Allowance 2020 (बिहार बेरोजगारी भत्ता 2020 के लिए आवेदन कैसे करें)?
Aap sabhi ko yaha par Bihar Berojgari Bhatta 2020 Online Aavedan form bharne ke liye Step by Step method batlaya gya hai aap ise follow karke apna Form aasani se online bhar sakte hain.
- Aap is Page me diye gye link se iske official site par sabse pahle visit karen.
- Uske baad home page par New Applicant Registration par click karen.
- Click karne ke baad ek naya page open ho jayega.
- Jisme aapko puchhi gyi saari details ko sahi se bharna hoga.
- Aur Form ko pura bharkar submit bale tab par click kar den.
- Ab aap Yuva Nischay App ko diye gye link se download bhi kar sakte hain.
OFFICIAL WEBSITE | Click Here |
DOWNLOAD APP | Click Here |
Conclusion:-
To Guys aap sabhi ko is page me Bihar Brojgari Bhatta 2020 Online Registration Form bharne ke liye puri jankari share kiya gya hai. Yadi aapko iske baad bhi online form bharne me jyada prashani ho raha hai to aap niche diye gye Comment Box se puchh sakte hain…
Gagan Kumar mandal village po tournna jalaghar Amour purnia