Bihar Corona Sahayata Mobile App Download:- Bihar Government ke dwara Lockdown Sthiti ko dekhte huye Bihar Rajya ke jitne bhi workers jo dusre Rajya me rah rahe hain, Un sabhi ke liye Rajya Sarkar ne Bihar Corona Sahayata App ya Bihar Corona Sahayata naam se ek Mobile Application Launch kiya hai. Bata den ki COVID-19 Lockdown Mahamari ke karan Rajya ke jitne bhi worker alag alag rajyo me fase huye hain, Unko is App ke madad se kuchh Sahayata Rashi pradan ki jayegi.
Jaisa ki ham sabhi jante hain ki Bihar Rajya ke bahut saare Workers apne naukri ki talsh me ek dusre Rajyo me chale jate hain, Lekin is Lockdown Mahamari ke chalte sabhi Nirmarn Karya, Karkhane ityadi ko abhi band kar diya gya hai. Aur Kaam karne bale sabhi Worker aise hi baithe huye hain, Ab unke pass koyi kaam nahi sabhi Berojgar hone ke karan ve apne ghar lautna chahte the, Lekin wo is Lockdown ke karan apne ghar bhi nahi laut sake. Isliye Bihar Sarkar ne un sabhi ki madad ke liye Rs. 1000 Rupaye ki Rashi is App ke madhyam se pradan karne ja raha hai.
Aap sabhi ko bata den ki Rajya ke jo bhi log dusre State me Lockdown ke karan fase huye hain, Isliye is Apps ka mukhya udeshya Bihar ke Jaruratmand logo ko Financial Madad dena hai.
Contents
Bihar Corona Sahayata App Online Download
Bihar Corona Sashayata App Kai Dainik Majduri karne bale worker ki madad karega, Jinhe Kaam, Bhojan aur sabhi aavashyak vastuye ke abhav me aakar Sahar chhodne ke liye Majbur kiya gya tha. Iske karan Bihar Rajya ki Sarkar ne aakhirkar Bihar Corona Madad App ke madhyam se in logo ki madad karne ki pahal kiya hai. Yadi aap bhi is Yojna ka Labh Uthana chahte hain to is page me di gyi saari jankari ke anusar apna aavedan form online bhar sakte hain.
Bihar Corona Sahayata Mobile App – Overview
Article Category | Rajya Sarkar Yojna |
App Name | Bihar Corona Tatkal Sahayata |
Name of Department | Disaster Management Department (आपदा प्रबंधन विभाग) |
Beneficiary | Bihar Rajya Ke Nivasi |
Profit Amount | Rs. 1000/- |
Official Website | www.aapda.bih.nic.in |
Bihar Corona Sahayata App Download Link
Is post ke madhyam se aap sabhi ko bata den ki Bihar ke Aapda Prabandhan ke Sahyog se Bihar Government ne is Mobile App ko Launch kiya hai. To aap Bihar Corona Tatkal Sahayata App ke bare me adhik Jankari parpt karne ke liye is post ko last tak padh sakte hain. Sath hi aapko is page me Mobile App Online Download karne ka direct link bhi provide karya gya hai.
Aur aapko is App se Labh Uthane ke liye apne phone me download karna hoga, Install hone ke baad aapko apne bare me kuchh mahatvapurn details enter karna hoga. Aur aapki Education ke aadhar par Bank Account me Rs. 1000/- Rupaye transfer kar diye jayenge.
Mobile Sahayata App – aapda.bih.nic.in 2020
Agar aap bhi unhi me se hain aur dusre Rajya me Lockdown kar karan fase huye hain, Ya Bihar nahi laut paye hain, To aap is Mobile App ke madhyam se Bihar Sarkar dwara diye ja rahe is Yojna ka labh prapt kar sakte hain. Jo ki App online download karne ke liye is post me niche official link diya gya hai. App ko download karke aap is Yojna ke liye aavedan kar sakte hain
Aur ha Aavedan karne bale Candiates ko janana bahut aavashyak hai ki Bihar Corona Sahayata Yojna Sirf Bihar Rajya ke Nivasi ke liye hai, Wo log iska upyog kar sakte hain, Jo Coronavirus Lockdown ke karan Rajya se bahar hain. Halanki anya Rajyo ke worker jo alag alag Rajyo me fas chuke hain wo bhi puchhi gye details aur bahut kuchh pradan karke online aavedan kar sakte hain.
Bihar Corona Sahayata App Download
Government of Bihar ne un sabhi logo ko Madad ki offer karne ke liye sabse upyukt Manch ke roop me Mobile Phone chuna hai, Jo apne Rajya se dur hain. Aur Garib or Dihadi karne bale Majdur sabse adhik prabhavit hain, Sabhi Rajya Sarkar ne apne Rajyo ki logo ki madad ke liye kuchh na kuchh upaya kar rahi hai.
Bihar ke Logo ki Madad ke liye Jo other state me fase hue hain, Bihar Sarkar ne is App ke Madad se unhe Madad ki offer karegi. Is App ko online download karne ke liye is post me step by step tarika bhi batlaya gya hai.
बिहार कोरोना सहायता एप्प कैसे डाउनलोड करें ऑनलाइन?
Yaha par aapko Bihar Sarkar ki Aapda Rahat ke official website se Bihar Corona Sahayata Mobile App download karne ke liye tarika bataya gya hai, Jise follow kar aasani se Is App ko online download kar sakte hain.
- Aap iske official website par sabse pahle visit karen.
- Ab iske home page par do link aapko dikhai dega, Aap kisi bhi link par click kar sakte hain.
- Ya aap diye gye link par click karenge to App download hona start ho jayega.
- Aur App ko Activate karne ke liye kuchh mahatvapurn document ko upload karna hoga.
- Document upload karne ke baad aapke Mobile par ek OTP aayega, Verification ke liye
- Verification Complete hone ke baad aap is App ka upyog kar sakte hain.
Official Website:- www.aapda.bih.nic.in
Bihar Corona Sahayata App download Link | Click Here |
Documents Required
Aapko upar bataya gya ki yah Yojna sirf Bihar ke Logo ke liye hai Jo dusre Rajyo me fase hain, Jiske liye kuchh mahatvaprun Document niche bataya gya hai.
- Aadhaar card
- Bank Account Number
- Photograph
- Mobile Number
- Ek Aadhar par sirf ek hi Registration hoga.
- Sahayata Rashi aapke Bank Account me direct bheja jayega.
Bihar Corona Tatkal Sahayata Mobile App का उपयोग कैसे करें.
- Aap Bihar Corona Sahayata App ko saphalta purvak download karne ke baad ise open karen.
- Ab aapko apni pasand Language ko select karna hoga.
- Uske baad aapko apna Mobile Number enter karna hoga, Fir Mobile par ek OTP aayega, Aap Aavedan me prapt OTP ko enter karen.
- Agle step me aapko apne bare me kuchh aavashyak Details enter karna hoga, Jo aapke dwara diye gye sabhi details sahi hona chahiye.
- Nahi to aapka aavedan reject ho jayega.
- Ab aapko apna photo App me upload karna hoga.
- Aavedan online jama karne ke baad aapko ek Registration No mil jayega.
- Aur Form Accept hone ke baad aapke Bank Account me Rs. 1000 Rupaye transfer kar diya jayega.
Aap is prakar se Bihar Corona Sahayata Yojna Mobile App Apne Phone me online download kar sakte hain, Aur is App me puchhi gyi sabhi details ko yaha par bataye gye tarike ke anusar bharna hai. Yadi aapko iske baad bhi aavedan karne me problem ho raha hai to aap niche diye gye comment box se puchh sakte hain.
Leave a Comment